chapter 7

6 2 1
                                    

Dekh aakr kbhi in ko bhi Jo Tere haton aise ujre Hein k Abad nhe hone k.

............

Teiz Barish ka mosam tha , aj subah se he Barish hori thi. Noura apni dressing table k pass khari apne baalon pe brush pher rhi thi , aj usne white colour ka piyara sa frock pehna tha Jo gutnon se neeche tha. Wo phle se zyda thek lagri thi , usy ab khuwab bhi kaam ane lagy thy jbse hamdan usy time dera tha aur us Sy batein kr rha tha noura waqht k sth sth heal Hoti jari thi , family ko yaad krke roti toh wo Roz thi mgr ab usy Akela pan mehsus nhe hora tha wo hamdan k sth Roz baten krti thi aur wo Roz usy khamoshi se sunta tha.  Wo apne lambe khubsuraat Baal jure mein bandti hai fir uski nzr side pe rakhe aik rose par prhti hai. Kal wo bahir walk kr rhi thi toh garden se Tor Lai thi. Wo us rose ko apne haton mein leti hai fir apne kaan k peeche apne baalon pe Laga leti hai. Fir aik muskurahat Sy apne Apko dekhti hai.
Fir kamre ka darwaza khol kr bahir nikalti hai.
Hamdan bhi us waqht Apne kamre se bahir Abya tha wo noura ko seeriyan utarta hua dekhta hai toh wahin khara hojata hai.
Wo balon ka jura bande aur side pe phool lagaye seeriyan utar rhi thi. Hamdan usy dekhta hai fir usky kan k peeche lage phool ko dekhta hai aik pal k liye jese uski ankhein ruk jati Hein uski saansein tham jati Hein. hamdan k zehan mein aik aur lrki ati hai , koi thi Jo is waqht noura uske jesi lagri thi. Issi trha kan k peeche phool Laga kr wo chlti thi chehre pe muskurahat aur aise he safaid jora pehna krti thi. Hamdan ko noura ko dekh kr is waqht sirf wahi lrki yaad ayi thi wo uski maa thi. Hamdan ki ankhein us waqht noura se hat he nhe rhi thi Wo itni khubsurat itni haseen lagri thi k wo usy dekhta jara tha bs dekhta jara tha.
Aik yaad thi Jo hamdan k Dil mein noura ko dekh kr us waqht ati hai. Uski maa ki yaad , aj noura blkl uski maa ki shabi Deri rhi thi jisko hamdan k baap ne bedardi se qatal krke mara tha.

"Kia hua?"

Noura usky qareeb akr kehti hai.

"Nh.....nhe Kuch nhe bs wo......wo ye phool bhi ap lagati Hein Apne balon pe?"

"Nhe nhe.....ye toh mein aise he bahir gayi thi toh Tor Lai thi fir dressing table pe rakhdia tha aj Baal banate waqht smne prha tha Socha Laga lun......wrna mein toh nhe......"

Noura ko mehsus hota hai k wo uski baat ko Nazar andaaz kare Bina usy dekhta jara tha , kbhi usky kaan k peeche lagy us phool ko dekhta tha toh kbhi uski ankhon pe , bs wo musalsal usy dekhra tha.

Noura ko dekh kr bar bar uski maa usy yaad Ari thi , wo bhi aise he jura Banda krti thi aur phool lagaya krti thi. Wo bhi bht haseen thi bht khubsurat thi.

"Tmhe kia hua?"

Wo kehti hai toh hamdan jis khyl Mein khoya tha us khyl se wapis ata hai.

"Nhe Kuch nhe......ye phool ap Roz Lagaya krein apne balon pe"

Noura herani se usy dekhti hai.

"Kyu?"

"Wese he , acha lagra hai"

"Nhe wese mje psnd nhe hai lagana mene toh aj wese he......."

"Apko pta hai? Mje dunya mein sbse zyda mohabbat kis lrki se hai?"

Wo uski baat kat kr kehta hai.

Noura herani se usy dekhti hai. Ye sawal Kyu pucha isne?.

"Kon?"

"Wo bht khubsurat thi noor mam, wo bht haseen thi mein usy dekhta tha toh apni ankhein nhe hata pata tha , wo issi trha apki trha Apne balon ka jura bana kr peeche phool lagaya krti thi. Wo bht haseen thi bht haseen aur wo Meri maa thi"

Noura ki saansein tham jati Hain.

"Aur aj ap blkl unki trha lagri Hein , noura. Aj ap bht piyari lagri Hein".

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now