Wo bed se take lagaye behti hui thi bazu dono seene pe bande hue thy or kesi khayal mein gum thi.
Sar pe dubata tha kyuke wo namaz parh kr uthi thi , aik sawal usko pareshan kr rha tha.Mera peecha Kon kr rha tha itne waqht Sy?
Aj Kafi din Baad usy is chiz ka khayal Aya tha.
Mje Laga k mere Bhai k qatil kr rhy hongy mgr sherum ka qatil toh mere ghr mein majood tha phir peecha Kon kr rha tha? Acha tbhi mein kahun k jb bhi mein hamdan se kehti thi k Mera peecha sherum k qatil kr rhy Hein mje Marne k liye toh wo itne yaqeeni se Kyu kehta tha k sherum k qatil nhe koi or peecha kr rhy Hein isliye kyuke qatil toh wo khud tha.
Mgr ab baat Yahan ati hai k akhir peecha kr Kon rha tha?
Wo gehri soch mein thi Dil bar bar aik sawal ko kre jara tha.Phir kamre k darwazey ka lock khulne ki awaz ayi toh wo nzrein darwazey pe Leke jati hai, hamdan Halka sa darwaza kholta hua andar dhakil hota hai.
Usy aik Nazar dekhta hai phir smne dressing table k pass sheeshey k agy khara hojata hai noura usy dekhti rehti hai jese uski ankhein hamdan pe ruk gayi hon wo dekh usy Rahi thi mgr dhmg kahin or tha hamdan sheeshey se he noura ki nzron ko dekhta hai Jo musalsal usy dekhri thi."Aj mein zyda handsome lag rha hu?"
Noura aikdam chonk kr nazrein dusri taraf krti hai.
Phir hamdan mur kr noura ki taraf dekhta hai."Itny ghor se Kyu dekhri Hein ap mje?"
Wo uski taraf nhe dekhti smne deewar ko dekhri thi.
"Mein tmhe nhe dekhri thi , mera dhmg kahin or......kahin or tha"
"Acha?"
Chlta hua usky pass Ara tha.
"Kahan tha apka dhmg?"
Wo muskurate hue kehta hai.Or Kehta hua usky smne Aa ruka noura nazrein uski taraf krti hai.
"Kyu? Tmhe Kyu batau?"
Wo Halka sa muskurata hai.
Phir aakr bed pe usky smne beth jata hai noura Halka sa khud ko peeche krti hai or nazrein dubara kahin or kr leti hai haath aise he seene mein bande hue the."Dekh mje rhi thi dhmg kahin or tha? Smj nhe ayi mje apki baat"
Noura chirte hue Thora agy Hoti hai.
"Mera dhmg kahin or tha kyuke mein kesi k bare mein sochri thi or tmpe kab nazrein prhi mje nhe pta chla , insan JB Kuch sochra hota hai toh usy nhe pta chlta k uski nazrein Kahan ruki Hein , so tmhe mein nhe dekhri thi tm knsa mje achey lagte ho Jo mein tmhe dekhun or na he mje tmhe dekhna ka koi shoq......"
Wo usky bolte honton pe ungli rkh deta hai noura Jo tezi se bolti jari thi foran ruk gayi or Herat se usy dekhne lagi.
"Aj koi naye topic se burai kren , ye toh mein Roz sunta hu na k mein acha nhe hu or Apko mere se baat krne ka shoq nhe hai"
Noura ghussy Sy peeche ho kr bethti hai.
"Tmhara msla kia hai hamdan? Kitne dheet ho tm , jitni burai krlo jitna Kuch suna do tmhe farq he nhe prhta? Tmhari burai krna bhi fazul hai burai kru toh tm uspe bhi baten banane lag jaty ho or us Duran mje or ghussa ata hai apni burai sun na bhi Kitna psnd Haina tmhe?"
Wo Halka sa muskurata hai phir aikdam chehre ki muskurahat khtm Hoti hai.
"Noura madam , Meri burai koi nhe kr skta Jo krta hai wo apna Haal achey se jnta hai isliye kesi ki himat nhe hoti k wo mere agy Kuch Ulta seedha bole wrna mein Kon hu wo Sb jante Hein , ye wahid ap Hein Jo mere mun k agy buraiyan krti rehti Hein mgr mein tasali se sunleta hu kyuke mein Apko dantuga toh ap rone lag jayengi kyuke apka Dil chota hai bs is waja se mein bardasht krleta hu kyuke mein apki ankhon mein ansu nhe dekhna chahta or wo bhi Meri waja se? Ahan , hargiz nhe"
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Misterio / Suspenso"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...