Ab k ham bichre toh shyd kbhi khwabon mein milen jese sukhe hue phool kitabon mein milen.
Sham dhal rhi thi aur wo apna Sara Saman noura k basement k aik chote se kamre mein Rakh rha tha.
Kamra saaf sutra sa tha aik single bed rkha hua tha aur Zameen pe Pura carpet pecha hua tha. Wo Saman Rakh kr bed par beth jata hai jese thak gaya tha tbhi noura kamre mein ati hai."Tm... Tmhe thek Laga kamra?"
Wo chonk kr upr dekhta hai.
"G acha kamra hai , mein Reh lunga"
Wo kamre k andr ati hai mun mein udasi si Hoti hai jese koi Baat wo saiyam se kehna chahri thi aur issliye idr ayi thi. Wo saiyam k samne deewar pe take Laga kr khari hojati hai.
"Mje un..... Un logon ko ab doondna hai"
Saiyam herani Sy usky chehre ki trf dekhta hai.
"Jo apka peecha kr rhy thy?"
"Hmm.... Phle mein tmhe Mana kr rhi thi mgr jb.....jbse prso Raat ka waqiya hua hai mere ghr mein wo log aye Hein , tbse mein dar gayi hu. Aur ab mein chahti Hun k mein unhy doondu , aur tm he ho jo Meri madad krskte ho bs".
"Ap toh chahti Thi k mein Apke mamle mein na prhun?"
"Mein ab bhi yehi chahti hu , saiyam. Kyunke mein apne sth tmhari Jan khatre mein nhe dal skti mgr shyd..... Shyd ab mje tmhari zaroort hai".
"Ap fikr na krein. Blke ap mujpe chordein mein khud unka pta lagaunga..... Mgr kia pta wo abhi america mein ho"
"Mje nhe pta , agr america mein Hein toh peecha Kon kr rha hai"
"Yehi toh baat hai , k wo apka peecha nhe kr rhy Noor mam , ap ghlt sochri Hein. Apne kaha k ap Uss villa mein dubara gayi mgr wo wahn thy he nhe. Yani wo sirf us din he wahn thy Jb ap unse Milne gayi uske Baad wo idr kahan reh Rahe honge? Wo apka peecha nhe kr rhy koi aur hai Jo Apka peecha kr rha hai"
"Mgr unke Siwa aur Kon hoskta hai?"
"Yehi toh pta lagana hai.... K unke Siwa aur Kon hai Jo peecha kr rha hai , mgr ye baat paki hai k Wo Jo bhi hain qatil nhe hoskte"
"Mje un logo ne kaha tha k JB thk mere pass unki sari files aur saboot Hein wo mje mardenge isliye toh peecha kr rhy hein"
"Noor mam , agr unhone Apko marna hota toh apka peecha Kyu krte? Ussi waqht mar dete blke ussi din mar dete jis din ap unke ghr unse Milne gayi thi"
"Tm choro is sbko , Jo bhi hai bs uska pta krwao"
"Okay..."
Kuch der thk khamoshi Rahi , noura udr he khari Zameen ko dekhti Rahi aur saiyam usy.
Fir noura ne apni grey ankhein utha kr usy dekha. Wo ab bhi ussi ki ankhon mein dekhra tha uski khubsuraat ankhein usy bht psnd thi.
"Tm kia ghoor rhy ho mere chehre ko?"
"Apki ankhon ko"
"Meri ankhein?"
"Khubsuraat Hein bht...."
"Janti Hun mein..."
Wo aise he normal Andaz mein kehti hai , har koi he uski ankhon ki tareef krta tha
Isliye uske liye ye normal baat thi."Apko Kuch aur kehna hai? Kyuke ap kbse idr khamosh khari hui Hein?"
"Nhe.... Mein bs pareshan Hun mje tmhari madad chahiye aur mje acha nhe lagra k Meri waja Sy tm msle mein prho tbhi idr khari hui sochri Hun k tmhe is Sb mein involve krna chahiye yah nhe"
"Apko bht fikr hori hai Meri?"
"Fikr? Mje tmhari fikr hai bhi nhe..... Mere msle mein prhogy toh mere sth tmhari jaan ko bhi khatra......"
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Misterio / Suspenso"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...