chapter 19

3 2 0
                                    

Gari teiz raftaar se agy bhar rhi thi 3 ghnte lagatar safar krne k Baad aik jaga rukhi thi , aik Ghar.
Driver apni seat se uth kr bahir ata hai or uski pichli seat ka darwaza kholta hai toh wo coat ka button band krte hue bahir nikalta hai ankhon mein sunglasses Lage hue thy baalon mein aj gel nhe Laga tha.
Wo agy chlta Ghar k darwazey k qareeb ata hai darwaza phle se he khula hua tha toh wo andar ajata hai bara sa garage tha or aik car Khari thi jisy wo nzr andaaz krta hua agy barta hai andar ka darwaza locked tha wo knock krta hai toh aik lrki chlte hue aakr darwaza kholti hai or side pe Hoke usy andar aney ki jagah deti hai wo andar ajata hai chota sa Ghar tha jisky sirf 2 kamre the Jo aik dusre k amne samne the or bahir tv lounch tha.

"Konse kamre mein hai wo?"

Lrki ko Bina dekhe wo kehta hai.

"G wo.....smne wale"

Wo haath ka ishara krke kehti hai toh hamdan ussi kamre ki tarf Janey lagta hai.

Zaman us waqht us kamre k sofey pe behta hua tha haton Mein mobile tha jispe wo game khelra tha achanak zor se darwaza khula toh zaman k haton se phone neeche gira or usne chonk kr upr dekha.
Smne hamdan khara tha wo tezi se kamre k andar ata hai or zor se apny haath se darwazey ko band krta hai zaman apna phone neeche Zameen se uthata hai or uth kr abhi ada khara he hua tha k hamdan tezi se chlta hua usky qareeb ata hai or zor dar thappar keench k usky mun pe marta hai zaman ussi waqht sofey pe girta hai wo itne zor ka thappar tha k zaman ka Pura mun hil kr Reh gaya tha honton se khoon Nikal rha tha. abhi zaman utha bhi nhe tha k hamdan uski tarf jhukta hai or uska gireban zor se pakarta hai zaman ko Laga k uska jism is waqht usky control mein nhe hai wo hil nhe paara tha kyuke itni zor se hamdan ne uska gireban pakra tha wo churwa bhi nhe sakra tha , us Duran hamdan ki ankhon mein khoon tha deshat thi ankhen phatri thi or zaman ki saansein rukri thi mgr usne ye mehsus nhe krwana tha k wo waqai dar rha tha.
Phir achanak zor se hamdan uska gireban chorta hai or usy neeche girata hai wo jaa kr Zameen pe girta hai.

"Tmhe kia Laga tha? Mere se chup jaogy?"

"Tm.....tm Kahan.....Kahan se aye...ho"
Wo ruk ruk kr bolra tha.

"Tmhe kia Laga tha zaman k tm waqai mere se chup skte ho yah Bach skte ho?"

Wo kehta hua zaman k pass Zameen pe bethta hai.
Zaman abhi bhi ussi Tarah apna gal pakre Zameen pe gira para tha uska gal suj rha tha.

"Mein jnta tha k tm kis shehar mein hogy mein sb jnta tha , aisa Kuch tha he nhe Jo mein nhe jnta tha mein toh sirf tmhe waqht dera tha"

Aik muskurahat usky labon pe ayi.

"Tmhe sirf waqht dera tha k tm kab tak mere se Bach kr bhagte ho kyuke ye baat toh tm bhi jnte the k tm dunya k jis koney mein bhi chale jaogy mein wahan se bhi tmhe pakar k laa skta hu"

Zaman usy dekhra tha chehra Laal parh rha tha thapar k nishan wahan mojud thy.

"Ye Ghar is Ghar mein majood bande Sb mene khareeda hua hai sirf tmhe chakma dera tha mein , kyuke mein jnta tha k Jb tm is shehar mein un bndo ko dekhogy Jo mene tmhe doondne k liye bhjen Hein toh tm kahin chupne ki krogy or jldi mein tm aise Ghar mein chupo gy jiska darwaza khula hoga , tmhe Bewakoof banana mje ata hai zaman"

"Tmhari bewi mar gayi hai"
Zaman uski baat ko Nazarandaaz krte hue aik ajeeb si muskurahat k sth kehta hai.

"Phle mere se bhagna seekh lo usky Baad pangey bhi lelena"

Zaman ki Baat ko ignore krte hue wo khara hota hai mgr uski baat sun kr Dil mein aik ajeeb sa ehsaas zaroor hua tha wo mar jaygi Wo kbhi khuwab mein bhi nhe soch skta tha usy jldi ab noura k pass Jana tha usy zinda Pana tha.

Phir aik zor dar laat zaman k peit pe marta hai toh zor dar cheekh zaman k mun se nikli thi phir wo tezi se darwazey k qareeb jata hai aik nzr peeche mur kr isy dekhta hai.

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now