chapter 3

10 3 2
                                    


"and whoever puts their trust in Allah , he alone is sufficient for them"

Fajar ki aik Azan di jaa chuki thi.
Aise mein, subah ki pehli kiran ne apna kaam shuru kr dia tha , aur din ki shuruat hone wali thi.
Masjid mein namaz prhne wale logon ki sadaein buland thi , toh ghr mein sote hue logon ki khamoshi thi.
Molvi ki awaz har taraf gunj rhi thi.

"Allahu Akbar" (God is the greatest).

Wo apne bister Sy uthta hai. Wazu k liye jata hai.

"Ashhadu an la ilaha illa Allah" (I bear witness that there is no god but Allah)

Subah ki pehli kiran halki halki har taraf phailti ja Rahi thi , aur Azan ki awaz har jagah se buland hori thi.

"Ashhadu anna Muhammadan Rasulullah" (I bear witness that Muhammad is the Messenger of Allah)

Dusri taraf wo aram Sy soi Hoti hai , molvi ki awaz kanon mein prhne Sy halki halki ankh kholti hai aur fir uth kr bed pr beht jati hai apny baalon ko jure mein band kr uthti hai aur wazu k liye jati hai.

"Hayya 'ala al-salah" (Come to prayer)

Kuch log aram Sy sore thy , itni gehri neend mein k unky kanon Mai awaz nhe parh rhi thi , aur Kuch uth kr wazu k liye gaye thy.

"Hayya 'ala al-falah" (Come to success)

Har taraf Sy logon ko namaz k liye , khuda Sy mulakaat k liye bulaya jara tha

Allahu akbar (god is the greatest)

Wo wazu krke bahir ata hai aur janamaz pechata hai.

La ilaha illa Allah (there is no god but Allah)

Kamre mein andhera tha mgr subah ki Roshni kamre ko Roshan kr rhi thi. Wo janamaz pechaye dunya Sy blkl dur khuda k qareeb tha.

Dusri trf noura ne namaz parh kr Dua k haath uthaye.

Mun mein Kuch mngne ko nhe tha , wo kia mange?

Ab toh uske pass Kuch mngne k liye bhi nhe tha , maa baap aur Bhai ki Zindagi mnga krti thi ab wo nhe Hein toh kia mngy? Ab uske pass Kuch nhe tha Jo kho jaye , sirf wahi thy jinke khone ka usy dar tha mgr wo nhe Rahe. Wo mayoosi zahir krke apny Dua wale haath dubara neeche krleti hai aur janamaz band krke khari hojati hai ankhon mein nami Hoti hai , janamaz utha kr side pr rkhti hai aur khirki ki trf aakr khirki kholti hai usy ghutan mehsus hori thi. fir wo  bed ki trf aakr leit jati hai ankhon mein Jo ansu thy ab wo chehre pe ary thy aur takiye pe gir rhy thy.  Aur neend ab ankhon Sy chli gayi thi.

Dusri trf wo apni Dua ko mukamal krke uthta hai. Wo aj masjid nhe gaya tha ghr mein he usne namaz parhli thi. Fir phone bajta hai.
Phone dekhta hai toh uspe aik Naam Dekhai dera tha 'harmeen'

Phone utha kr kaan Sy Lagata hai.

"Han bolo?"

"Ap kidr Hein?"

"Namaz prh rha tha fajr ki , tm itni subah mje call Kyu kr rhi ho?"

"Jese ap namaz k liye uthe ho wese mein bhi musalman Hun , namaz k liye uthi thi Socha call krlun"

"Aur agr mein soya hota?"

"Aise ho nhe skta kyuke ap namaz k liye zaroor uthte Hein"

"Acha , Khair kia hua?"

"Kuch nhe wese he yaad Ari thi apki"

Wo bed pr beth jata hai , ghnta us Sy batein krta hai fir phone rkh deta hai , Kuch ghanton baad usne job mein Jana tha. Driver ki job. Bezari Sy mobile rkh kr dubara sone ki koshish krta hai.

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now