Raat ka andhera har taraf tha hamdan car se utarta hai mgr noura behti rehti hai noura ka Dil ab bhi sehma hua tha or hamdan dekh skta tha k wo Dari hui hai.
Hamdan chalta hua uski side tak ata hai gari ka darwaza kholta hai or usy bahir any ka kehta hai wo bheegi ankhon Se hamdan ko dekhti hai hamdan apna haath uski taraf bharata hai toh wo uska haath pakar leti hai or phir gari se Nikal kr bahir ajati hai."Kia baat hai? Ap ab bhi Dari hui Hein?"
Noura ki ankhein musalsal bheegi hui thi.
Mgr wo hamdan ko Kuch nhe kehti chup rehti hai.
Phir wo uska haath pakar kr usy Ghar k andr Leke ata hai dono seeriyan charte hue upar jate Hein phir kamre ki taraf ponchte Hein hamdan aram se apny bedroom ka darwaza kholta hai noura ko andr Jane ka kehta hai wo andher jati hai toh hamdan bhi andr ajata hai phir kamre ka darwaza band kr deta hai."Tmne.....tmne uska qatal krdia saiyam"
Noura ki ankhen Jo bheegi hui thi ab ansu gir rhy thy , hamdan usy chonk kr dekhta hai.
"Noor ap pareshan Kyu hori Hein? Wo lrka Apko nuksan puncha rha tha acha insan nhe tha or mene thek kia usy mardia , kesi ki himat nhe k Apko haath lagaye"
"Mgr uska qatal nhe krna chahiye tha wo......wo bhi kesi ka beta , Bhai , baap Hoga na"
"Ap us shaqs k liye itna udas hori Hein Jo Apki izat ko nuksan punchane Wala tha?"
"Nhe mein usky liye udas nhe hori mgr.....mgr mere ghr mein aik bnde ka qatal ho Chuka hai bs is waja se soch kr ajeeb sa lagra hai k us admi k Ghar walon pe kia guzregi"
"Jo guzregi wo dekhlenge Apko tension leny ki zarurt nhe hai is trha k logo ka yehi anjam hota hai or wo shaqs Apko nuksan puncha rha tha mein kese bardasht krleta?"
"Wo.....wo waqai mar gaya hai? Mene dekha tha toh uski saansein chalri thi agr.....agr wo zinda hai toh phir thek hai kyuke.....kyuke is trha toh tmne uska qatal krdia hai na mein nhe chahti k tm aik qatil ban jao"
Hamdan aik nzr usy dekhta hai.
Ab isy or kia kahe? Uski toh jitni saansein chalri thi mene wo bhi khatam krwa di , kia isy Keh du k wo zinda hai?"Hn zinda Hoga mje nhe pta ab ap tension nhe lein relax hojayen or sojayen aram se"
"Iska mtlb wo nhe mara? Mein sirf ye chahti hu k saiyam tm aik qatil insan na bano kyuke tmne uska qatal krdia hai ye bht bari baat hai agr wo zinda hai toh thek hai or agr wo waqai mar gaya hai toh tm aik qatil hue na?"
Hamdan usy ghor se dekhta rehta hai.
Noura tm waqai nhe janti k tm aik qatil k sth Reh rhi ho or mein is Sy phle kitne qatal kr Chuka Hun ye toh Kuch bhi nhe tha aur tm issi Sy pareshan hori ho socho agr jis din tmhe pta chalega k mein kitne qatal phle he kr Chuka hu toh us din tm kia sochogi?"Han nhe mara wo , zinda hai noura ab ap please is topic ko band kren or sojayen"
Wo mar gaya tha mgr hamdan ko noura se jhoot bolna tha na bolta toh wo pareshan rehti.Keh kr wo bathroom ki taraf Chala jata hai noura pareshan si wahin khari rehti hai.
⚫⚫⚫
Agly din bhi snowfall hori thi har taraf barf he barf thi.
Harmeen noura k kamre ka darwaza knock krti hai toh Kuch der Baad noura ankhen masalti hui darwaza kholti hai wo neend se jaagi thi."Oh acha ap sori thi? Mene disturb krdia sorry"
Noura k Baal bhikre the or wo mun pe haath rkh k Jamai leri thi.
"Ahan , nhe koi bat nhe , kia hua?"
"Kuch nhe wese he apse baten krni thi mgr shyd ap sori thi sorry mene disturb krdia"
"Nhe koi baat nhe , Time kia hora hai harmeen?"
Harmeen apni haath mein bandi ghari dekhti hai.
"Subah k 9 bajre Hein"
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Mystery / Thriller"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...