Wajood k is samandar mein ham Sb sirf aik nazuk kashtiyan Hein , Jo takdeer ki lehron Sy takra rhi Hein.
Sheeshey k agy khari hui wo apny khubsurat ghaney aur seedhe lambe balon per brush pher rhi thi. Safaid shalwar per usne safaid kameez pehni hui thi. Uska safaid rang pasandeeda tha. Ankhein surmai thi Jo bht khubsurat thi rang bhi safaid aur saaf tha.
Apney Apko sheeshey mein dekhri thi in 5 dino mein usne apney Apko bht kamzoor Krlia tha ro ro kr ankhein suj gayi thi. Darwazey pe dastak Hoti hai. Toh wo darwaza kholne jati hai bahir noorain Hoti hai."G noorain..?"
"Noura neeche koi lrka Aya hai , tmse milne..."
"Mere Sy Milne? Mene toh kesi ko Milne k liye nhe bulaya"
"Pta nhe koi bht piyara sa lrka hai kehra hai k iss ghr mein Jo rehti Hein unse milna hai , ab is ghr mein toh tm he ho"
"Kon hai? Apney Naam pucha?"
"Nhe mene Naam nhe pucha mje Laga tmne kesi ko bulaya Hoga , Jao dekhlo Kon hai"
"Sherum ka koi dost Hoga taziyat k liye Aya Hoga , pta nhe logo ko lgta hai k inki taziyat krne Sy gaya hua Banda wapis ajayga"
"Is trha nhe Kaho , Kuch logon ko waqai dhuk hota hai aur wo apka dhuk bantne aty Hain"
"Koi kesi ka dhuk nhe bant skta , Jis k sth hota hai sirf wahi smj skta hai, chalein main jaa kr dekhti hu k Kon Aya hai"
Wo sofey pe behta hua hota hai Ghar ko dekhte hue uski ankhein chamak rhi Hoti Hain.
"Itna Bara aur khubsuraat Ghar , Kash Mera hota toh Maza he ajata"
Wo seeriyan utarte hue neeche ati hai drawing room mein jati hai toh samne wo sofey pe behta hua hota hai black pant per black hoodie aur sar per usne black cap bhi pehni hui Hoti hai , aur shkl hasti hui jese khelta hua chehra tha , aur isky any pe hasta hua khara hota hai dono galon pe dimples bhi aty Hein.
"Assalamualaikum.."
Noura usy dekh kr pechan ne ki koshish krti hai k wo phle kbhi is Sy Mili thi aur wo sherum ka knsa dost hai?, mgr nhe wo nhe Mili thi.
"Walaikumassalam, ap sherum k dost Hain? Kon Hein mene kbhi nhe dekha Apko?"
"Sherum ka dost? G... Nhe.. wo mein.... Ap behten mein batata Hun"
Kehta hua wo khud bhi beht jata hai aur noura jaa kr uske samne wale sofey per beht jati hai.
"mere khyl Sy Apko bhul gaya hai... Apne 2 din phle call ki thi k Apko aik driver ki zarurt hai....."
"Oh , g haan.... Acha toh wo ap hein"
"G mein he hun...."
Wo bar bar is khubsuraat barey Ghar ko dekhta ja rha tha.
Aur noura usy sar se neeche thk dekhri thi wo itna handsome lgta tha aur bht achey ghr ka lagta tha fir diver ki job?
"Apka Naam kia hai...?"
"Saiyam......saiyam Yousuf , aur apka?"
"Noura sikandar"
"Nice name"
Muskura kr noura k chehre ko dekhta hua kehta hai."Apko dekh kr lgta nhe hai k ap per ye job suit kregi.... I mean Kafi achey ghr k lgty Hein koi aur job....."
"Sirf shkl surat Sy he acha lgta Hun. Halat mere achey nhe Hain aik kamre k ghr mein toh rhta Hun mein....Meri majburi hai. Mgr sirf 2 mahine k liye... 2 mahine ap mje apney ghr job de dein mje sirf 2 mahine k liye kaam krna hai uske Baad Meri aik achi jagah job lag jaygi"
YOU ARE READING
Dil e Haiwan
Mystery / Thriller"He had killed that girl's brother, and now he's been sent to kill that girl too, but instead, he falls in love with her" "This is my first novel, so if there are any mistakes, I apologize." The story explores themes of love , loyalty , betrayal , c...