chapter 14

6 2 0
                                    

Aj Barish Kafi teiz thi badal zor se garaj Rahe thy.
Wo tezi se chlte hue lift se bahir ata hai sapat chehra koi tasurat nhe the chehre pe or na he muskurat thi.
Sarey workers behte hue the usy Salam krte Hein mgr wo jowab nhe deta.
Wo tezi se chlta hua aik admi ko ishara krta hai.

"Mere room mein ao"

Or phir apny office room ki trf chla jata.
Kuch der Baad wo admi usky kamre mein ata

"G sir apne bulaya tha?"
Hamdan kursi pe behta hua tha smne laptop ki screen chamak rhi thi Wo usy band krta hai or us admi ko bethne ka ishara krta hai , kamre mein Roshni nhe thi sirf khirki se Roshni Ari thi.
Wo admi aakr beth jata hai.

"Han toh btao Jo mene tmhe Kam dia tha wo hua?"

"G sir us admi ka pta chal gaya hai"

Hamdan foran agy hota hai.

"Kon hai phir wo? Jo Kafi time se noura or Mera peecha kr rha hai?"

Wo admi apni jaga se uthta hai or chlta hua hamdan k qareeb ata hai or usy sari baat batata hai Jo usy pta Chali thi.
Hamdan ghor se aik aik lafz sunta hai.

⚫⚫⚫

Noura gumsum SI khirki Sy bahir dekh rhi thi chehre pe sirf udasi thi kamre se bahir jaa nhe skti thi or kahin ghoomne bhi nhe jaa skti thi wo subah se is kamre mein thi or bore hori thi.
Hamdan k ilawa koi idr us Sy sai se baat nhe kr rha tha wrna wo kesi ko toh dost bana leti.
Bs wo bahir girti Barish ko dekhri thi or hamdan ka intezar kr rhi thi Wo hamesha subah ko Chala jata tha or sham ko wapis ata tha noura se thori baten krta tha phir kesi Kam mein masroof hojata tha uski hamesha ki is routine se noura tang Ari thi or aur zyda bore hori thi.
Phir wo apni jaga se uthti hai.

Mje nhe pta mein bore hori hu is kamre mein subah se reh kr , mje bahir Jana hai saiyam jo kehta hai bolde koi khatra nhe hai Mere bahar jaane se kya khatra hoga?

Wo zor se darwazey ki kundi kholti hai or bahir Nikal jati hai mgr aj Laila usky kamre k bahir nhe thi , usne gehri saans li or phir agy chalne lagti hai k dekhti hai smne wale kamre ka darwaza khula hua hai or andr Roshni bhi jali hai.
Wo chalte hue kamre k pass ati hai or andar jhank kr dekhti hai wo bht piyara sa kamra tha jiski deewar ki aik side pe paintings lagi hui thi or bht khubsurat thi ,  kamre k andar koi nahi tha

Wo chalte hue kamre k pass ati hai or andar jhank kr dekhti hai wo bht piyara sa kamra tha jiski deewar ki aik side pe paintings lagi hui thi or bht khubsurat thi ,  kamre k andar koi nahi tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Wo chlte hue Thora andr ati hai , kamra bht piyara tha or Wo harmeen ka kamra tha.
Wo janti thi k harmeen usy Apne kamre mein dekhegi toh bura react kregi mgr usy farq nhe prhta tha usy wese bhi sbka kamra dekhna tha kyuke ghr itna acha tha toh uska Dil krta tha k sbka kamra dekhe.

Phir deewar pe lagi paintings ko dekhti hai zyda tar painting aik dhuki lrki ki bani Hoti thi yah wo lrki Jo ro rhi Hoti thi.
Smne Nazar krti hai toh aik canvas prha hua tha jispe half painting bani thi Yani harmeen abhi paint kr rhi thi , kamre mein paint ki khusboo har taraf thi.

"Tm idr Kiya kr rhi Ho?"

Peeche se harmeen ki awaz pe noura mur kr dekhti hai.

"Mein.....mein wese he agayi , jaari hu"

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now