chapter 20

3 1 1
                                    

Aik qaid se Nikal kr wo dusri qaid mein phas gayi thi mgr shyd is qaid se zyda behtar wahi qaid thi , Kash wo ussi qaid mein mar jati agr mar jati toh itna Kuch Jan ne ko na milta!

Zameen pe bed se take lagaye behte wo sochri thi , ro ro kr ankhein suji hui thi darwaza locked tha wo bahir nhe bhag skti thi wo Yahan se bhagna chahti Thi wo Yahan se nikalna chahti Thi Kafi ghnte wo darwaza peet ti rhi cheekhti rhi roti rhi mgr koi darwaza nhe kholra tha or na he hamdan k kamre ki chabi kesi k pass thi Jo noura ko us kamre se Azad kr sake.

Phir achanak darwaza khulta hai noura apni jaga Sy uthti hai peeche mur kr dekhti hai or tezi se bhagte hue darwazey k qareeb jati hai hamdan ussi waqht uska haath pakar leta hai wo apny Apko us Sy churwane ki koshish krti hai or bahir Nikalne lagti hai.

"Choro mje.....choro mje bahir Jana hai...."

Wo musalsal bolri thi or khud ko wahn se bahir nikalne ki koshish kr rhi thi mgr hamdan ne usy apny aik he haath se bht sakhti se pakra hua tha.

"Tm.....tm mje aise qaid nhe kr skte mje bahir Jana hai....choro mje!"

"Mein tm....tm jese qatil insan k sth nhe rehna chahti , choro mje!"

Wo zor se kehti hai hamdan ki bardasht khtm Hoti hai wo zor se usy andar ki taraf phenkta hai or zor se darwaza band krke lock krta hai noura k hont Zameen pe jaa kr lagey thy jis waja se usky honton se khoon behne Laga tha.

"Yahan se ap kahin nhe jaa skti or na he mein Yahan se Apko kahin Jane Dunga , isliye khabardar k ab apny bhagne ki himat ki"

Noura ka dhmg mouf hogaya tha.

"Mein Apko psnd krta hu apse mohabbat krta hu Apko apne se dur kr skta hu?"

Usky chehre pe aik ajeeb si muskurahat ayi thi.

"Mein Apko Jane nhe Dunga noura , chahe Apko Puri Zindagi bhi mje qaid krke rkhna prhe toh thek hai mein apko qaid rkhunga kyuke mein apse mohabbat krta hu or mein logon se mohabbat bht Kam krta Hun or Jin se krlu unhy apny se dur kbhi nhe Jane deta"

Noura foran Zameen se uth kr khari Hoti hai or usy dekhti hai honton pe khoon ab jam gaya tha.
Hamdan ki nazrein usky honton pe jati Hein Jin pe khoon tha.

"Mein......mein idar nhe rahungi!"

Wo zor se kehti hai.

"Mje tmse nafrat hori hai , tmhara wajood bhi mje is waqht zehar lagra hai , mein tmhare sth.....tmhare sth Zindagi nhe guzarungi"

Hamdan ki nazrein ab bhi usky honton pe thi uska Dil buri trha sy dhuka tha hamdan ki waja se noura ko nuksan poncha usky hont pe lagi , wo aise kese kr skta tha? Uski waja se noura ka hont zakhmi hua.

Wo ahista ahista chlta usky qareeb ata hai or noura qadam peeche krti jati hai aikdam chehre pe dar k tasurat any lagte Hein usy hamdan se dar lagne lagta hai uski rooh kampri thi , wo usky nazdeek Ata jara tha or noura peeche Hoti jaari thi Dil dharak rha tha ankhen bheegri thi usy dar lagra tha behad dar , hamdan k qadam uski taraf ary thy or noura k qadam us Sy dur hote jare thy or ussi waqht hamdan uska bazu pakar kr aik jhatke Sy noura ko apny qareeb krta hai noura ki toh saansein ruk gayi thi.

Wo usko apny qareeb krta hai phir apni shirt ki pocket Sy aik tissue paper nikalta hai or dheere se usky honton k qareeb Leke jata hai noura ka Dil musalsal dharak rha tha or ansu gir rhy thy wo dar rhi thi , wo kamp rhi thi!
Wo tissue ko usky honton pe Leke jata hai or Jahan khoon Laga tha wahn se khoon ko saaf krta hai noura apni ankhon ko band krleti hai usy dar lagra tha Kyu wo nhe janti thi bs aik ajeeb sa usy khof Ara tha aik dar ka ehsaas hora tha Jo usy kabhi nhe hua tha , ab toh usy us Ghar se bhi dar lagne Laga tha wo is waqht aik qatil k smne khari thi Apne Bhai k qatil k smne or wo ussi qatil ki bewi thi!

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now