chapter 23

0 0 0
                                    

Din ba din sardi tezi se Bharti jari thi , abhi bhi teiz hawaen chal rhi thi or wo balcony mein khari hui smne k Nazare dekh rhi thi teiz Hawa se usky Baal urh rhy thy.
Ab usne Yahan se Azad hone ki zid chor di thi , wo Kuch nhe kr skti thi majbur thi phir zid krna bhi bekar tha , wo aise he Apne din kat rhi thi kbhi ro kr toh kbhi bht sari sochon mein aik sth gum ho kr.
Din ba din boriyad or Bharti jaari thi Kuch khass nhe tha krne ko aik kamre mein beth kr wo kia he kre? Phir bar bar Apne Apko regret krti k Kash noorain ki Baat he man leti mgr shyd naseeb yehi tha ab Jo naseeb tha usy usky sth jeena tha chahe marte dam tak he Kyu na jeena prhe , ab sabar k Siwa agy Kuch or nhe bcha tha.
Aj Kal sirf aik baat thi Jo usky Dil ko bechain kr rhi thi or wo ye Thi k uska peecha Kon kr rha tha? Hamdan se puchti toh wo usy nhe batata tha isliye ab isne hamdan se puchna chor he dia tha , wo zidi tha Kyu nhe Bata rha tha wo khud bhi nhe jnti thi shyd waqht any pe Bata de?
Mgr dusri taraf harmeen ki adhi kahin baten bhi usy pareshan kr rhi thi Kash us waqht hamdan na ata bech mein toh harmeen baat ko mukamal kr deti.

Dusri taraf hamdan office k room mein behta tha aj laptop usky agy band prha tha kamre mein wese he andhera tha Jese hamesha hota tha sham dhal rhi thi andhera bharta jara tha or usy is andhere mein rehna psnd tha , wo jnta tha k zaman Kahan pe hai or Kiske Ghar hai mgr abhi uski Zindagi mein zaman k ilawa or bhi msley thy zaman ko thek krna usky liye koi mushkil Kam nhe tha wo usy kahin se bhi pakar k laa skta tha isliye wo relax tha zaman ki koi tension nhe thi , bs tension toh asim ki thi or bht zyda.

Dusri taraf harmeen Jo teiz teiz laptop pe type kr rhi thi ankhein aise he suji hui thi dhmg kahin or tha mgr ankhen laptop pe wo apna koi kaam kr rhi thi phir bezari se laptop ki screen ko band krke apny side pe Rakh deti hai phone utha kr zaman ko call krti hai aj subah se he wo calls kr rhi thi mgr zaman attend nhe kr rha tha phir achanak zaman ne uski call attend ki toh harmeen foran apni jaga se khari hojati hai.

"Za....zaman"

Wo betabi Se kehti hai.

"Kia hua?"

"Ap call Kyu nhe utha rhy thy?"

Wo bed pe behta hua tha nazrein apni zakhmi tang pe thi.

"Sorry wo....Mera phone charge nhe tha"

"Toh charge krlete?"

"Kahan se krta? Accident hua tha Mera aik haftey phle tabhi se behosh prha hu abhi toh utha hu mein"

Wo Jese harmeen se jaan churwana chah rha tha, mgr ye baat sachi thi k usky phone mein battery nhe thi or aj he phone charge kia.

"Accident? Kese? Kyu?kab?"

Wo Jese pareshani se kehti hai.

"Koi nhe bs mamooli sa hai"

"Ab ap kese hein?"

"Tang pe lagi hai , thek hojaygi Kuch dino tak toh phir tmse Milne aonga"

"Sirf milne nhe , mje nikkah krna hai bs bht hogya"

Zaman Kuch der khamosh rehta hai , or phir bolta hai.

"Oky"

Harmeen aik gehri saans leti hai , wo toh dar he gayi thi k zaman khamosh Kyu hua tha.

Phir zaman k kamre ka darwaza khulta hai andar Saman ati hai .

"Acha mein Baad Mai baat krta hu"
Wo kehta hua call cut kr deta hai.
Saman qareeb aakr usky smne sofey pe beth jati hai.

"Kis Sy baat kr rhy thy?"

"Tmhe Kyu batau?"

"Toh na batao"

Wo peeche hokar beth jati hai.

"Mje ye btao k is Ghar mein or kitne din rehna hai?"

"Tmhe kia msla hora hai? Tmhare Walid ne khud mje Khushi se rkha hua hai , ab mein JB bhi jaun tmhe kia hai?"

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: 15 hours ago ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now