chapter 8

7 2 2
                                    

Tanha Dil tha aur khamosh Raat thi Meri Allah se wo pehli mulakaat thi!

..................

Thandi Thandi subah har trf pehli hui thi , wo bahir tv lounch k sofey pe behti thi sar pe safaid rang ka scarf ora hua tha aur kapre bhi safaid thy aur haaton mein Quran tha , wo aram se Quran parh rhi thi Subah 7 bajy ka waqht tha.... Wo Apne kamre Sy bahir ata hai ankhein masalta hua , neend ab bhi uski Puri nhe hui thi kyuke Puri Raat wo sai se nhe so Saka tha.
Bahir ata hai toh smne noura ko Quran prhte dekhta hai. Quran? Mene toh kitne saal se nhe prha ,mje toh bhul bhi gaya Hoga k prhte kese hein? Khair.....
Bezari Sy Keh kr wo agy barh jata hai jese usy farq he nhe prha tha...
Noura Quran band krti hai aur fir Quran ko chum kr khari Hoti hai smne nazrein uthati hai toh smne se wo guzar rha tha.

"Tm kab uthe?"

Iski awaz mein wo iski trf dekhta hai fir isky pass chlta hua ata hai.

"JB ap Quran parh rhi thi"

"Acha mtlb abhi?"

"G.."

Noura Quran haath mein Leke usky smne se guzarti hai fir Quran ki jagah par Quran ko rkhti hai.

"Apko smj ajata hai k Quran mein kia likha hai? Mera mtlb hai k......k mje toh Kuch smj nhe ata k uspe kia likha hua hai isliye mein prhta nhe"

Wo laaparwai se kehta hai.

Mgr wo muskura kr usy dekhti hai.

"Quran prhna har kesi ko Kahan naseeb hota hai?"

Wo Jo neeche dekhra tha chonk kr noura ki trf dekhta Hai wo mutmaeen si smne khari usy dekhte hue kehri thi , chehre pe muskurahat thi.

"kia mtlb? Quran toh Sb k liye hota hai sb prhte Hein fir isme naseeb ki kia baat?"

"Agr Sb prhte Hein toh tm Kyu nhe prh skte? Tmhare pass Quran Haina? Mgr tm nhe par skte tm prhte ho toh tmhara Dil nhe lgta tm usy bnd kr dete ho aur phir prhte he nhe ho! isliye Quran parhna har kisi ko naseeb nahi hota hai. Quran parhne ke liye Allah ki rehmat aur hidayat ki zaroorat hoti hai.
Allah taala ne Quran ko apne bande ke liye hidayat ki kitab banaya hai, lekin yeh hidayat sirf unke liye hai jo Allah ki rehmat se iske liye taiyar hote hain"

Wo ahista ahista chlti iske pass Ari thi aur sth sth boli jari thi.

"Quran parhne ke liye, tmhe pehle apne dil ko saaf karna hoga, phir apne nafs ko qabu mein karna hoga, aur phir Allah ki rehmat se Quran ki samajh hasil karni Hogi".

"Allah ki rehmat Sy Quran ki smj hasil? Mtlb?"

"Mtlb ye hai k neik kaam kro namazein prho burai k kamon se dur Raho , phir tmpe khuda ki rehmat nazil Hogi Yani Jo abhi tm kehre hona k tm Quran prhte ho mgr smj nhe ata tm bore ho jate aur tm wapis rkh dete ho? Tm apny Dil ko apne nafs ko saaf rkho burai k kamon se dur hatogy toh neik kamon ki trf dehan ayga na aur phir Quran prhte hue bhi tmhe smj ajaya kregi aur na bhi aye toh atleast tmhara Dil Quran k sth Laga rahega , laikin tm tafsir se Quran prho , mje toh Quran smj ajata hai mein tarjuma k sth prhti hu , mgr Kuch logo ko mushkil lagta hai kyuke tarjuma bhi smj nhe ata toh usy tafsir k sth prhna chahiye , mgr Quran ko prhne se phle apna ap thek krna Hoga tbhi khuda k kamon mein Dil lagega Jb apne Amal thek nhe krogy toh kese Quran mein Dil lagega?
Jin logon ko Allah ne Quran parhne ki tofeeq di hai, unhe iski ahmiyat aur fazilat ka ehsaas hota hai"

Phir sofey pe beth jati hai.

Aur wo nasmji se isy dekhta hai.

"Mje apki baat smj mein nhe Ari...."

Wo nasmji se isy dekhte hue kehta hai , usy waqai iski baten sir se guzarti hui lagi thi.

"Koi bat nhe , ajaygi smj har kesi ka waqht hota hai aur Apne waqht mein sbki smj ajati hai , aik din aisa zaroor Hoga k tmhe dunya Tor degi aur tm khuda k pass Jao gy neik kaam krne lag jaogy us Duran tmhare Dil mein Quran ki mohabbat aygi aur tm Quran khud prhogy fir Meri sari baten bhi smj ajaygi"

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now