chapter 18

4 2 0
                                    

Kabhi socha hai? Zindagi mein ham jo kuch sochte hain, us se bohot mukhtalif kyun hota hai? Ye ek aisi soorat hai jo har insaan k dil aur dimaag mein aksar guzarati hai. Hamari soch, hamari khwahishen, aur hamare armaan aksar hamari haqeeqat se alag hote hain.
Har insaan apne tajurbaat, khayalat, aur jazbat k zariye duniya ko dekhta hai. Hamare khayalat mein jo rang hain, wo hamari zindagi ki tazgi aur gham ke saath milkar tayar hote hain. Kabhi kabhi, hum sochte hain ke humari zindagi ka rukh kuch aur hoga, lekin jab haqeeqat ka samna hota hai, toh sab kuch badal jata hai. 

Zindagi ki yeh mukhtalif rangat aksar humein hairaan karti hai. Hum sochte hain ke agar hum mehnat karenge, toh sab kuch hamesha behtar hoga. Lekin kabhi kabhi, mehnat ke bawajood, halat aise nahi hote jese humne socha tha. Yeh ek aisa paradox hai jo har insaan ko jhelna parta hai.

Hamari soch ka ek hissa hote hue bhi, haqeeqat k saath samjhota karna parta hai. Yeh samjhota kabhi kabhi bht mushkil hota hai, lekin yeh hi zindagi ka asal rang hai. Zindagi ke is safar mein, humein apne khayalat aur haqeeqat k darmiyan ek talash karni hoti hai, jahan hum apne armaan aur khwahishon ko haqeeqat mein tabdeel kar sakein. Ye talash asal Mein apne aap ko samajhne ki Hai hamen Apne khyalon jazbat hakikat ke darmiyan ek balance banane ki talash Karni hoti hai iska matlab hai k Ham Apne khwabon Aur aspirations Ko hakikat k sath milakar dekhte hain Taky Ham Apne maqsad Ko achieve kar saken . Apne jazbaton per ghor karna Shuru Karen khud Se Sawal Karen ki aap kis chiz Se Khush hain kis chiz se pareshan hai aur kyon? Is se aapko Apne jazbaton ki gehraiyon Ko samajhne ka mauka milta Hai.

Yeh soch hum sab ko ek naya nazariya deti hai, jisse hum apne khuwabon ko haqeeqat mein badalne ki koshish karte hain. Har din ek naya mauqa hota hai, ek nayi soch ka, jisse hum apne aaj ko behtar bana sakte hain.

Is tarah, zindagi ki yeh mukhtalif soch aur haqeeqat ka jahan hamesha humare saath rahega. Aur yeh hi hai, jo humein har lamha zinda rakhta hai, sochne par majboor karta hai, aur hamesha behtar karne ki koshish mein laga rehta hai.
Zindagi Asan nhe Hoti usy bs Asan banana prhta hai sabar krke mehnat krke or apny ap par Ghor krke , hame khud pe ghor krna chahiye k ham kese Hein? Ham dusron ko toh bari asani se har chiz pe judge krlete hein unke bare mein bht Kuch soch lete mgr kbhi khud ka Socha hai k ham khud kese hein? Hame khudko dekhna chahiye khud ko smjhna chahiye kyuke agr hamare andar koi burai hai toh usy ham khud khtm kr saken.
Har insan k andar aik aisa insan hota hai Jo usy bura banata hai bs hame Apne andar Se us insan ko khtm krna chahiye.
......

Raat gheri thi asmaan saaf tha aj Kafi din Baad asmaan pe tarey Nazar aye the.
Sarak pe wo ahista ahista chalra tha , 6 din guzar chuke the wo nakam tha noura ko doondne mein , don ko marey hue aik he din hua tha or har mulk Sy log ary thy mgr wo kesi se nhe milra tha or na he usy kesi se Milne ka shoq tha wo adhy se zyda din bahir guzarta tha bht sarey shehron mein usne ab bhi Apne bande behje hue thy Jo noura ko har jagah doond rhy thy.
Din guzar rhy thy or wo bht mushkil se noura k bagair shamein Kat rha tha , Apna Sara Kam usne chora hua tha Sirf aik he Kam mein masroof tha or Wo tha noura ko doondna.

Dusri taraf zaman Jb us makan ko locked krke nikla toh abhi adhy raste pouncha he tha k usy wo log Nazar agaye jinhen hamdan ne noura ko doondne k liye behja hua tha , zaman unhy dekh kr qadam tezi se bhagata hai , ye Kahan se agaye?
Wo chup chup kr chl rha tha phir smne aik Ghar ko dekhta hai jiska darwaza khula hua tha wo bhag kr us Ghar k andar Chala jata hai , shyd us ghar mein koi nhe tha yah phir tha? Usy nhe pta tha , wo us Ghar k garage mein khara hua tha andar ka darwaza band tha wo Ghar k andar nhe jaa skta tha Sirf bahir he kharey ho skta tha.
Wo log usy har jagah talash kr rhy thy or wo jnta tha k wo is shehar agaye Hein toh bht jald wo chupa hua makan bhi doond lenge or noura unhy mil jaygi mgr sirf uski lash.
Phir wo garage mein har jaga Nazar durata hai smne aik car khari hui thi.
Phir nzr usky us darwazey pe jati hai Jahan se andar Jana tha.
Wo nhe jaa skta tha bs deewar k sth take Laga kr udar he beth jata hai phir apne haath mein pakra phone dekhta hai.
Battery low!
Kuch der mein phone band hojayga wo Laila ko call krke inform krna chahta tha k wo Yahan maat aye noura aise he mar jaygi toh Laila k any ka faida nhe hai mgr wo call nhe kr skta tha usne abhi call milai he thi k phone band hogaya.

Dil e HaiwanWhere stories live. Discover now