accident

228 6 1
                                    

**Karz**

Agle din, alsete hue Rahul utha. Subah ki thandi hawa aur nayi jagah ka sukoon uske mann ko bahut achha lag raha tha. Usne apne naya flat ko dekha aur socha, "Yeh meri zindagi ka naya adhyay hai." Usne fresh hone ke liye bathroom ka rukh kiya. Garam pani se nahaate waqt, usne kal ke din ke sabhi ghatnaon ko yaad kiya. Uske mann mein Ragini aur uska ehsaan ghoom raha tha.

Rahul ne nahaane ke baad apne nayi kitchen mein chai banayi. Chai ka cup haath mein lekar, usne akhbaar uthaya aur khabar padhne laga. Ek headline ne uske hosh uda diye: "Lucknow se Delhi aane wali bus ka accident, bahut se yatri mare gaye." Rahul ke haath se chai ka cup girte girte bacha. Uske mann mein turant Ragini aur uske bachhe ka chehra samne aa gaya.

Rahul bina deri kiye turant hospital ki aur dauda. Hospital pahunch kar, usne accident mein shamil logo ki list dekhi. Uski aankhon ke saamne andhera cha gaya jab usne Ragini ka naam list mein dekha. Ragini mar chuki thi aur uska bachha Suraj ICU mein tha. Rahul ka dil baith gaya. Usne ICU ka rukh kiya aur waha ka manzar uske dil ko cheer gaya.

ICU ke bahar log apne apno ke liye ro rahe the. Kahin koi apne pati ke liye roh raha tha, to kahin koi apne bachhe ke liye dua kar raha tha. Rahul ka dil ek ajeeb si kasak se bhar gaya. Usne ek nurse se pucha, "Suraj kaisa hai?"

Nurse ne udaasi bhari nazar se dekha aur kaha, "Bachha ICU mein hai, halat thik nahi hai. Doctor apni poori koshish kar rahe hain."

Rahul ne apni aankhon se aansu pochhte hue Suraj ko dekha, jo bed par besudh pada tha. Uske mann mein guilt aur dard ka toofan umad raha tha. "Yeh sab meri wajah se hua," usne socha. "Agar maine Ragini se ticket nahi li hoti, to shayad aaj yeh sab nahi hota."

Usi waqt, Rahul ne ek muscular insan ko dekha jo pura toota hua sa lag raha tha. Woh aadmi Ragini ke pati, Mohit, tha. Mohit ke aankhon mein dard aur udaasi thi. Usne Rahul ko dekha aur ek hi pal mein sab kuch samajh gaya. Mohit ne apni aankhon se aansu pochhte hue Rahul se kaha, "Aap wohi hain na jise meri patni ne apna ticket diya tha?"

Rahul ne haan mein sir hilaya, uske aansu ruk nahi rahe the. Mohit ne Rahul ka haath pakad kar kaha, "Yeh sab bhagwan ki marzi thi. Ragini ne aapki madad ki aur main uske faisle ka samman karta hoon. Ab meri aur Suraj ki zimmedari aapki hai."

Rahul ne Mohit ko gale lagaya aur kaha, "Main aapko aur Suraj ko kabhi bhi akela nahi chodunga. Yeh meri zimmedari hai aur Ragini ke ehsaan ka karz bhi."
**Karz**

7 dino ke baad, Suraj discharge ho gaya. Hospital se nikalte waqt Rahul, Mohit, aur chhote Suraj ke mann mein mila-jula dard aur nayi shuruaat ka bhav tha. Suraj ab theek tha, lekin uski maa ka kho jana sabke liye ek gehra ghaav chhod gaya tha.

Mohit bhi ek anath tha, aur uske zindagi ke is kathin samay mein Rahul ka saath uske liye ek sahara tha. Rahul ne apni dil se yeh faisla kiya ki woh Mohit aur Suraj ko akela nahi chhodega. Isliye, Rahul bhi Mohit ke sath shift ho gaya.

Rahul aur Mohit ne mil kar nayi zindagi ki shuruaat ki. Mohit ka ghar chhota tha, lekin pyaar aur apnapan se bhara hua tha. Mohit ek majboot insaan tha, lekin apne dard ko chupane mein mahir tha. Rahul ne dekha ki Mohit kis tarah apne dard ko chupane ki koshish kar raha tha aur Suraj ke liye mazboot banne ki koshish kar raha tha.

Mohit aur Rahul dono ka ek hi background hone ki wajah se unhe ek dusre ki feelings ko samajhne mein zyada samay nahi laga. Dono ne mil kar ghar ke kaamon mein haath bataya. Rahul ne Suraj ka khayal rakhne mein madad ki, uske liye khana banaya, uske homework mein madad ki aur usse pyar diya. Suraj bhi dheere-dheere Rahul ke saath comfort feel karne laga.

Mohit ke saath rehne se Rahul ko bhi apna dard bhoolne mein madad mili. Unhone apni dukh-bhari kahaniyon aur apni zindagi ke khushiyon ko saath baantna shuru kiya. Mohit ne apne dukh ko apne kaam aur Suraj ki khushi mein badalna shuru kiya, aur Rahul ne apne naye job mein apna sab kuch dena shuru kiya.

Rahul aur Mohit ka saath ek nayi zindagi ki shuruaat tha. Ragini ke ehsaan ka karz ab Rahul ki zindagi ka maqsad ban gaya tha. Mohit aur Suraj ke saath rehkar Rahul ne ek naya pariwar paaya, jahan dukh aur sukh dono ke saathi ban gaye. Mohit aur Rahul ek dusre ke liye ek sahara ban gaye, aur Suraj unki zindagi ka roshni ban gaya.

karzWhere stories live. Discover now