Sach

227 16 16
                                    

Agle din subah nana Haya ko uthane men masroof thin.

"Haya uth jao hamne bahar nhi jana kya?"

Haya ki dabbi dabbi si awaaz aaye thi, osne apna mun takiye ke ooper rakha howa tha.

"Nana sone den na."

"Nahi Haya utho warna men akeli chali jaon gi kahin bahar."

Vo aik dam se uth ke bethi thi. Nana ose dekh kar os se pooch gayen thin.

"Haya tumhari ankhon ko kya howa?Sooji hoi hain."

"Kuch nhi nana raat neend der se aaye thi."

"Acha ab jaldi tayaar ho jao."     
      
Nana ko pata tha is baat ko khuredne ka koi faida nahi ho ga kyun ke vo kabhi asal baat nhi batae gi.
                   ........................
Sameer apne kamre men tha jab Shizza oske pas aaye thi.

"Men baat karna chahti hon apse."

"Bolo."

"Sameer aap kuch bhi karen meri ammi ko kahen ke vo yahan aapke ghar na rahen."

"Kya matlab Shizza?"

"Jab onhen pata chala ke aap acha kamane lage hain, doctor ban gaye hain tu vo yahan aa gaye mujhay le ke. (Sameer ko kuch samajh nahi aa rahi thi.) Islie kyun ke vo meri aur apki shadi karwana chahti thi, mera yaqeen karen men majboor thi meri koi galati nhi hai. Os din jis din ham aaye the aur aap kitchen men gaye the tu ammi ne apke phone se Haya ka phone kat diya tha aur call logs men se oski call delete ki thi. (Vo waha heraan pareshaan khara tha.)
Ammi ne aapko hospital se chuttiyan lene ka bhi isi liye kaha tha kyun ke vo janti thin ke Haya osi hospital men doctor hai. (Sameer ko yaqeen nhi aa raha tha.) Phir aik aad din baad Haya ki call aaye thi aur ammi ne mujhay force kia ke men uthaon aur kahon ke aap busy hain. Aur jab vo poche ke men kon hon tu jawab don ke men....men aapki magetar hon aur buhat jald hamari shadi hone waali
hai. Khuda gawaah hai Sameer men sach keh rahi hon, men majboor thi ammi ne...ammi ne mujhay force kiya tha."

Sameer ki ankhon men behad gussa tha.

"TUM LOGON NE MUJH SE MERA SAB KUCH CHEEN LIYA."

Shizza ki maan ne ye sab kuch sun liya tha aur vo sharmingi ke maare kuch der baad hi wahan se rawana ho gayen thin. Oski zindagi the vo log jin se door kiya gaya tha osse. Aurat zaat maan kar Sameer ne onhen maaf kar diya tha.

Sameer ko ab saari baat samajh aaye thi ke Haya ke os message men kyun zindagi ki khushi ke baare men likha tha.
                    ........................
Sameer hospital gaya tha aur sedha Sadia ke pas pohancha tha. Sadia ne hi osse bataya tha ke Haya London men hai. Aik din pehle jab vo Haya ke ghar gaya tha wahan lock dekh kar os ka sar chakra gaya tha. Ose kuch bhi samajh nhi aa raha tha.

"Dr.Sadia aap Haya ko phone karen aur os se poochen ke vo London men kahan hai."

"Jee men pooch deti hoon Doctor magar sab theek tu hai na."

Sameer uktaya tha.

"Aap please mujhay pooch den."
Vo sar han men hila gaye thi.
                   .........................

Nana aur Haya ne aaj river Thames pe jana tha aur onka hotel bhi river ke pas tha. Haya wahan ja kar bhi chup thi magar vo apne khayalon men bhi osi se mukhatib thi.

"Men janti hon men kitni buri hon, tumhe safai pesh karne bhi nhi di aur men tumhe bager bataye itni door aa gaye hon."

"Kahan gum ho Haya."

Vo khayal jhatakte nana ki taraf dekh gaye thi.

"Kahin nhi nana, soch rahi thi ye jagah kitni khubsurat hai."

"Vo tu hai, Haya men thak gaye hon Hotel chalen?"

Vo sar han men hila gaye thi.
Hotel room men pohanchte hi oska phone bajne laga. Wahan Sadia ka number tha. Vo hospital men wahid larki thi jis ke sath Haya ki kuch dosti thi. Haya ne London aane se pehle ose apna number diya tha jo osne London men istamal karna tha taake koi bhi emegency ho tu vo Haya ko call kar le.

"Aslamualaikum Haya."

"Walaikumaslam Sadia. Sab kheriyat hi hai na?"

"Han Haya yahan sab theek hai mene bas yahi poochna tha ke tum kesi ho."

"Men theek hon Alhumdulilah."

"Aur kahan reh rahi ho London men."

"Men river Thames ke pas aik hotel hai wahan reh rahi hon."

"Acha tu vo tu buhat khoobsurat jagah ho gi."

"Han buhat pyaari jagah hai."

"Acha Haya men baad men baat karti hon phir...vo patients aa gaye hain."

"Theek hai Allah hafiz."
                   ......................

Haya jaagi thi aur vo apne hotel ke kamre ki chat ko tak rahi thi.

"Mujhay pata hai tum ghar zaroor gaye ho ge, hame dhoondhne aur ye bhi jaanti hon ke agar tumhe pata lag gaya ke ham kahan hain tu yahan bhi aa jao ge."

"Nana mene tu dil se muskurana tabhi chor diya tha jab is duniya men mujhay laane walon ne mujhay be sahara chor diya tha."

"Haya mat is tarah ki sochen soch kar khud ko halkaan kiya karo."

"Mere pas aur koi option nhi nana, men vo sab kese bhula sakti hon."

"Choro ye baaten Haya men soch rahi thi ke Sameer ghar jaa kar jab ghar par tala dekhe ga tu kya soche ga. Ose aik mauqa safai pesh karne ke lie tu de deti. Kyun itni sakht dil ho gaye ho?"

"Nana safai chahie hoti tu yahan na aati men, ham na milen yahi behtar ho ga."

Nana Haya ki baat sun kar thora uljhin thin onhe kuch samajh nhi aaya tha.      

"Haya zindagi guzarna buhat mushkil kaam hai, jaanti ho hame lagta hai ke hamari takleef sab se bhari ha lekin sach kuch aur hai. Zakham tu har kisi ko lagaye jaate hain is duniya men, kuch log onko chupa lete hain aur kuch onki Marham dhoond lete hain.
Jo chupa lete hain vo ghut ghut ke mar jaate hain, jo marham dhoond len vo do pal khushi guzar lete hain."

Haya apni ankh se girta anso saaf kar gaye thi.

"Nana aapko na Allah ne mere zakhmon ki Marham banaya hai."

Nana muskura gayen thin oski baat pe.

"Aur tum mere zakhmon ki marham ho meri jaan."

Nana Haya ki jabein choom gayein thin.Vo thi aik doosre ke zakhamon ki marham. Zindagi ke har mor par onhe aik doosre ka sahara tha.
                 .........................          
"Sir mujhay please bataen ke London ki earliest flight kab ki hai."

"Aaj se do din baad sir."

"Theek hai aap meri ticket book kar len."

"Okay sir."

Sameer ne sakoon sans li thi.

"Mujhay safai pesh karne ka mauqah tu diya hota Haya, itna tu yaqeen tha na mujh pe aur nana unhen apne bete ki yaad nhi aaye. Tum chahe jahan marzi chali jao dhoond lon ga tumhe. Bas do din Haya, men tumhare pas hon ga. Yaad tu tumhe bhi aati ho gi meri, han magar utni nhi jitni mujhay tumhari aati hai."

MARHAMWhere stories live. Discover now