Nana heraan thin ke aaj Haya jaldi kese uth gaye. Vo shayad kahin jaane ki tyaari kar rahi thi.
"Kahan jaa rahi ho Haya."
"Kahin nhi nana bas river pe jaa rahi thi, wahan kuch der akele waqt guzarna chahti hon."
"Theek hai."
Vo hotel ki seerian utari aur kuch door chalte river ke pas aa gaye. Vo apne bazu apne ird gird bandhe apni nazren os haseen darya pe jamae howe thi.
"Haya..."
Vo awaaz itne roz baad sun kar ose sakoon mehsoos howa tha. Vo muri thi tu os ke khayal ke mutabiq jese hi ose pata chala tha ke Haya London men hai vo wahan aa gaya tha.
"Sameer tum....yahan."
"Han....Nana kidher hain? Men tum dono ko kuch batana chahta hoon."
"Tu vo tu tum tab bhi bata sakte the jab ham wapis Pakistan chale jate."
Vo ab hotel ki taraf chalte aik dosre se baat kar rahe the.
"Jab tak tum Pakistan aati tab tak buhat der ho jaati aur Haya mujh pe itna yaqeen tu tha na ke mujhay aik mauqah apni safai pesh karne ke lie deti."
Haya nazren chura gaye thi aur buhat halki awaz men boli thi."Safai chahie hoti tu yahan na aati."
Sameer ko oski awaaz nhi aaye thi.
Haya ne darwaza chabion se khola tha. Wahan nana kursi pe bethi thin. Sameer ko dekh kar vo herat se khari ho gayen aur vo pyaar lene ke garz se sar jhuka gaya tha."Nana men apko sach batane aaya hon, vo sab misunderstandings door karne aaya hon."
Sameer ne Shizza wala qissa nana aur Haya ke samne duhraya tha.
Nana aur Haya dono heraan the."Men zara fresh ho ke aati hon."
Haya wahan se uth kar bathroom men chali gaye thi. Har baar ki tarah osse tanhai men hi rona tha, osse gussa tha khud par os be gunah se oska sab kuch cheen lene par. Lekin vo bhi kya karti.
"Nana aap log mujhay dubara akela chor gaye, apko apne bete par yaqeen nhi tha."
Nana ki ankhen nam hoin thi.
"Sameer men Haya ki wajah se majboor thi, vo toot gaye thi, buri tarah se."
"Nana osko farq nhi parta, vo khud kehti hai."
"Agar ose farq na parta tu vo kabhi, sab chor kar yahan na aati."
"Tu phir vo kehti kyun nhi."
"Vo chup chap sehne ki aadi hai, ose samajhna bohat mushkil hai."
"Kya apko lagta hai men osse samajh sakta hon?""Meray baad agar Haya ki ankhen parna koi janta hai tu vo tum ho Sameer."
Vo muskuraya tha on ki baat sun ke.
"Kahan gaye hai vo?"
Nana bathroom ki taraf ishara kar gayen thi. Sameer kursi se utha tha aur osne bathroom ka darwaza khatkhataya tha.Vo kuch der baad bahar nikli thi, oski ankhen laal hoi thin. Sameer oski taraf dekh kar chup na reh saka.
"Drama queen, itni yaad aa rahi thi tu phone hi kar lena tha."
"Kis khush fehmi men rehte hain?"
"Men janta hon Dr.Sahiba."
Vo nazren churaye wahan se bhagna chaah rahi thi.
"Meri saari vacation kharab kar di."
YOU ARE READING
MARHAM
FanfictionHai mayasar nhi har zakham ka marham is jahan men Khush qismat hain vo jin ko zakhamon ke marham naseeb ho jaen