Sath jana hai

212 16 9
                                    

Har roz ki tarah Sameer pehle ghar par maujood tha.

"Nana men buhat khush hon."

"Vo kyun?"

"Mene bata diya osse."

Nana heraani se oski taraf dekh rahi thin.

"Tu phir osne kya utha ke mara?"

"Nana kuch bhi nhi mara, mene mana liya osse."

"Nhi Sameer jhoot mat bolo."

"Sach keh raha hoon."

Utni der men gaari ke horn ki awaaz aaye thi. Sameer jo betha howa tha khara ho gaya.

"Vese Sameer bare farmanbardaar shohar banu ge tum."

Nana qehqaha laga kar hasin thin aur Sameer sar jhukaye onki baat par has gaya tha. Vo darwaaza kholne gaya tha khud oske liye. Vo gaari lock karte utri thi gaari se.

"Aslamualaikam doctor sahiba."  

Vo muskurai thi.

"Walaikumaslam."

Vo dono nana ke kamre men gaye the. Haya tu Salaam karte sath hi kapre badalne chali gaye thi jabke Sameer, nana ke pas betha tha.

"Maan gaye hon tumhe Sameer."

Nana ne kaha tha Sameer ko.
Sameer apna colar pakar kar hila gaya tha.

"Thankyou super women."

Haya aaye thi dobara kapre badal ke.

"Ab bhai jab larka bhi raazi hai aur larki bhi tu nikkah ki date fix kar len."

Haya aur Sameer pehle chonk kar nana ki taraf dekhe aur phir aik dosre ki taraf.

"Nana itni jaldi."

Haya bole bager na reh saki.

"Men boorhi ho gaye hon Haya, apne bachon ki khushi jitni jaldi dekh lon utna acha hai."

Haya khafa si shakal bana gaye thi.

"Nana is tarah ki baaten na kiya karen please."

Sameer ne kaha tha.

"Lo mera ye matlab thori tha, tum dono yun hi pareshan ho gaye ho aur han sahi waali baat pe aao, dono ne kese baat palti hai."

Vo muskuraye the.

"Nana jo date ap decide karen gi vohi rakh lete hain."

Sameer ne kaha tha tu Haya osse ghoor gaye thi.

"Haya mat ghoro osse, sahi keh raha hai."

Haya nazren chura gaye thi.

"Acha nana men chalta hon, der ho rahi hai."

Sameer ne pyaar lene ke liye apna sar jhukaya tha, os ke kamre se nikal jaane ke baad Haya oske peeche bahar gaye thi. Sameer ne peeche mur kar dekha tu ose Haya apne peeche aati dekhai di.

"Kahan chali aa rahi hain doctor sahiba, mere sath jana hai kya."

Haya os ki baat par chonki hoi khari thi.

"Doctor sahab darwaza band karne aaye thi, Chand lala so chuke hain is liye. Mujhay nhi jana aapke sath."

Sameer oski baat par muskura kar kuch qadam oske qareeb bhara gaya tha aur vo hamesha ki tarah nazren jhukaye khari thi.

"Waqei nhi jana mera sath?"

"Sameer chale jao na, mene darwaza band kar ke sone jana hai, mujhay buhat neend aa rahi hai."

MARHAMWhere stories live. Discover now