Qabool Hai

250 18 25
                                    

Function Haya ke ghar ke lawn men hi arrange kia gaya tha. Lawn mehmaanon ke lehaz se khasa bhara tha. Haya jab tyaar ho kar aaye thi tu vo peeche ke darwaze se apne kamre men chali gaye thi. Kamre ki khirki se lawn nazar aata tha. Haya ne zara uth kar khirki se bahir lawn ki taraf dekha tha. Sameer apne trousers aur T-shirt men khara tha, intazamat karwaate. Oske baal bikhre howe the aur kapron par silwaten pari thin, subah se kaam kar raha tha vo. Haya ne time dekha aur phir osse call ki.

"Sameer abhi tak tyaar nhi howe?"

"Yaar kaam kar raha hon, abhi ja ke tyaar hota hon. Tum kahan ho?"

"Apne kamre men."

Vo khirki men jhaank gaya tha tu vo peeche hoi thi dewaar ke sath lagte.

"Acha phir men tyaar hota hon."

"Theek hai."
                   .........................

"Qabool hai."

Oski ankhon se anso gire vo alfaz ada karte howe. Oske dupatte ne oske chehre ko chupaya howa tha. Kuch logon ki kami hamari zindagi men onke chale jaane ke baad kabhi poori nhi hoti. Oski zindagi ki itni bhari khushi ke mauqe par oske maan baap oske sath nhi the.

Vo nikkah ke baad os se milne aaya  tha. Function sham ko tha. Vo jo apne anso rok na paa rahi thi, darwaaze par dastak sunte anso saaf kar gaye thi. Sameer kamre men dakhil howa tha tu vo sheeshe ke samne khari tissue se apni ankhe  ehtiat se saaf kar rahi thi. Vo osse bula gaya tha.

"Haya."

"Kya howa?"

"Ya mujhay poochna chahiye."

"Nhi...vo men tu theek hon."

"Dobara rona mat, mat pareshan howa karo. Jaanti ho hamari zindagi men jo hota hai oske peeche reason hoti hai. Ham dono ki qismat men likha tha hamare maan baap ka hamse juda hona, isme yaqeenan koi maslihat ho gi. Purane zakhmon ko yaad karne se behtar hai ham apne aaj men jeena seekh len."

Vo anso zabt kiye sar jhukaye khari thi. Oski baat khatam hone ke baad osne sar hilaya tha.

"Nana tumhe pareshan dekh kar buhat hurt hon gi."

"Aur tum?"

"Men bhi."

Vo oska hath pakar kar oske kandhe se lagi thi. Vo oske gird apna baazu rakh gaya tha. Vo thori der baad wapis oske samne khari hoi thi.

"Buhat achi lag rahi ho."
  
Vo muskurai thi sar jhukate.

"Tum bhi buhat....ache lag rahe ho."

Vo muskura gya tha.       
Darwaze pe dastak hoi thi.

"Sahab jee bhari bibi bula rahi hain."

"Aa raha hon Chand lala."

Vo dobara oski taraf dekh gaya tha.

"Rona mat, makeup kharaab ho jae ga."

Vo hassi thi.

"Theek hai, ab jao."  

"Itni jaldi tang aa gaye ho?"

"Tang nhi aye, bas isi liye jaane ko keh rahi hon kyunke nana bula rahi hain."

"Baad men poochon ga aapko doctor sahiba."

"Theek hai doctor sahab."
                    ........................

Jo subah se Sameer ne kaam karne walon ke sar par khare ho kar onse decoration karwai thi vo waqei buhat khubsurat thi. Safed phool, safed net se saja, lighton se chamakta lawn buhat haseen lag raha tha. Vo dono akhete stage pe bhethe kitne ache lag rahe the iska ehsas onhen har stage pe aata mehmaan dila raha tha. Nana stage pe ayein aur kuch paise onke sar se waar kar mulazima ko thamae.

MARHAMWhere stories live. Discover now