Na Mumkin Tu Nahi||LAST CHAPTER

404 19 13
                                    

Vo dono nashte ki table pe aa ke bethe the nana ke sath.

"Mene tum dono ke liye parathey banae hain."

Nana on dono ki plate men dalte bolin thin.

"Nana mat karen kaam, mulazim hain na, aap apne betay ke ghar aa ke kaam karen gi ab?"

Nana muskuraein thi.

"Arrey Sameer, maa hon na tu betay ka haq banta hai."

"Nana aik beti bhi hai, by the way."  
Haya bole begair na reh saki.

"Tum tu jaan ho meri."

Nana ki awaaz aai thi, kitchen ki taraf jaate.

"Aur meri bhi."

Vo oske kaan men sargoshi kar gaya tha aur vo hamesha ki tarah osse ghoor gaye thi. Kuch dair baad nashta karte vo dono uthe the. Nana kuch dair pehle hi ghar wapis gayein thin.

"Haya."

Vo oski taraf dekh gaye thi.

"Bolo."

"Meray bachon se milo gi?(Vo osse ajeeb si shakal bana kar dekh gaye thi. Sameer ne oski kalai par apna hath rakha tha.) Chalo meray sath."

Vo osse wahin apne parindon ke pas le gaya tha. Sameer ne onhen kisi tang se pinjre men band nahi kiya tha balke aik khula sa garden onhi ke liye tha. Wahan jaa kar vo khil gaya tha, nah jaane kya tha os jagah men.

"Sameer buhat pyaare hain ye."

"Janta hoon, pata hai Haya jab pareshan hota hon tu yahan aa jata hon, chota tha tu mom dad se lar kar inhi se baaten kiya karta tha."

"Pareshan ho?"

Vo osse pooch gaye thi, oske hath pe grift bharae. Sameer ne Haya ki baat suni aur kuch der baad oske chehre pe shareer si muskurahat aaye thi.

"Nahi tu, aaj tu men Mama ko bachon se milane laya hon."

Osse kuch lamhe lage the samjhne men.

"Sameer men tumhe...."

Vo bhaga tha wahan se.

"Janta hon janta hon."

Vo khilkhila kar has raha tha bhagte howe vo jo oske peeche gaye thi. Kuch door hi dewaar aa gaye thi aur Sameer ko rukna para.

"Ab kidher bhago gi?"

Vo oski kalai thame osse qareeb kar gaya tha, vo sans roke wahan oske samne but't bane khari thi.

"Muhabbat ki hai doctor sahiba apse, bhagon ga tu kabhi nahi (Vo sar jhuka gaye thi, abhi bhi sanjeeda shakal banae.) Aik tu doctor sahiba apko sharmana bhi nahi ata."

Vo muskura gaye thi oski baat pe.  
 
"Buhat mushkil kaam hai, mujh se nahi ho ga Sameer." 
                            
"Na mumkin tu nahi hai."

"Andar chalen?"
Vo baat badal gaye thi.

"Aap ab smart ban rahi hain."

Vo hasi thi, andar jaate howe.
                   ........................

Haya room men bethi thi, Sameer bhi oske sath hi betha tha.

"Sameer mujhay itni adat hai roz hospital jaane ki ke mujhay ajeeb lag raha hai."

"Han waqei (vo kuch sochte utha tha aur phir ilmari se aik photo album nikal kar oske pas laya tha.) Ye dekho."

Vo oske thora qareeb howe os album ko dekhne lagi thi.

MARHAMWhere stories live. Discover now