Mere Ho Tum

310 17 11
                                    

"Haya neend aaye hai?"

Vo osse, oske baal samet'te pooch gaya tha.

"Nahi ...han..."

Vo oski taraf sawali si nazron se dekh gaya tha.

"Ankhen band kar ke bethi thi na isliye poch raha hoon, tabiyat theek hai na?."

"Men theek hon."

Vo bed se utha tha, kapre jharte.

"Men kapre badal ke ata hon."

Vo ose bata gaya tha vo jo na jaane kyun bedsheet pe bane naksho nigar ko ghoorne men masroof thi. Vo wapis aaya tu shayad Haya ko oske ane ka ehsas nhi howa tha. Oski ankhon se anso gire the. Vo janti nhi thi ke Sameer ke liya oski ankh se gira har aik anso kitna maene rakhta hai, ose kis qadar takleef deta hai. Vo oske samne aa ke betha tha tu vo anso saaf kar gaye thi.

"Haya tumhara rone ka dil kar raha hai tu ro lo, dil halka ho jae ga. Tum comfortable nhi ho men jata hon bahar."

Vo bed se utha tha, kuch qadam chala tha aur osse apne hathon par oske hathon ki grift mehsoos hoi thi. Vo mura tha, vo foran oske seene ke se lagi thi. Osne jo na jane kab se anso roke howe the onhen behne diya. Sameer os par apni grift bhara gaya tha. Haya ke anso oski rooh ko kis tarah izrerab ke samndaron men bhigo rahe the vo janti nhi thi.
On dono ki takleef tu aik jaisi thi na.

"Mujhay kabhi kabhi buhat akela mehsos hota hai."

Vo sisakte howe osse keh gaye thi.

"Haya men hon na, ab nhi ho ga aisa."

"Kya chala jata onka agar meri wajah se, apni aulad ki wajah se apna rishta qaem rakhte."

"Haya zindagi men kuch cheezen hamari marzi ke mutabik nahi hoti."

Vo roe ja rahi thi aur vo osko samjha raha tha.

"Chale gaye mujhay chor ke, cheen li mere se meri saari khushiyan."

Oske alfaz Sameer ko kitni takleef pohancha rahe the ye sirf vohi janta tha. Sameer osse khud se alag karta oska chehra apne hathon men liye oski ankhon men dekhne laga tha, jo ro ro ke laal ho chuki thi.

"Wada karta hon Haya, tumhe tumhari saari khushiyan wapis lutaon ga."

Sameer ne ose apne qareeb kiya tha oske mathey pe apne lab rakhe the tu oska anso Haya ke gaal pe gira tha. Vo oski taraf dekh gaye thi. Sameer ne oske kandhon pe hath rakha tha.

"Yahi soch rahi ho ke mujhay kya howa, tumhare har gam men, main barabar ka shareek hon tumhare sath. Tumhe rota dekh ke mujhay buhat takleef hoti hai."

Vo apne anso saaf karte osko dekh gaye thi jo na jaane kitni takleef men tha. Haya ne oska hath pakar kar osko bed pe bethaya tha.

"Ankhen dekho apni laal ho gayein hain Sameer."

Vo oski taraf dekh gaya tha.

"Sheeshe men ja ke apni dekho, sooj gaye hain." 

Vo dono sar jhukaye muskurae the. Vo jitna marzi mature ban jaen on dono ka bachpana nhi gaya tha.

"Men buhat thak gaya hon, kal raat soya nhi tha."

"Ooper se aaj mene jagaye rakha, I'm sorry."

"Aap ka haq hai, aap poora maheena jaga lein, apse koi sawal nhi kare ga."

"Maheena zyada ho gaya hai Sameer."

Vo has gaye thi.     
          
"Meray sath reh reh kar apko bhi baten banana aa gaye hain doctor sahiba." 
                                      
"Vo tu hai doctor sahab."

MARHAMWhere stories live. Discover now