Chapter 1| Yeh mera aaj hai

15.9K 464 203
                                    


Mujhe se mera haal
Filhaal
Naa pucho

"Fia?"

Zaira kaghaz hath mein lye hr jgaah ussey dhoond chuki thi.

"fia kidhar hain?" Usne ek mulazima ko rok kar pucha.

"Woh to jee apne kamrey mein hain subah se!"
Zaira samjh gyi aur tez tez seeriyaan charhne lagi.

Usne khamoshi se kamrey ka darwaza dhakaila. Woh sb se pehle kamrey mein hi ayi thi pr apni behn ki adat bhool gyi thi.

Andar ghup andhera tha. khirki pr parrey blinds andar aney waali hr roshni ko mitaney mein kamyaab thai.

"Kitni baar kaha hai kam az kam din k waqt aisey andhera na kiya karein."

Zaira jaanti thi woh jaag rahi hai. Woh aksr aisey hi krti thi.

"Sar mein dard tha is lye kuch dair laiyt gyi thi. Tum btao accounts ki file le ayi?"

Woh uth kr baith gyi aur side table pr rakha lamp jalaya. Zaira uska chehra nai dekh skti thi pr woh jaanti thi k woh aansuo se bheega hua hai.

Woh baghaur Safoorah ko dekhti usk sath baith gyi.

"aap ro rahi thei?" Sawaal baimaqsad tha woh janti thi iska jawab kia ho ga mgr adat se majboor thi.

"Safoorah roti nai rulaati hai. Ab baki lights bhi jalao aur btao iss file ko tum ne check kia?"

"Humari payment mein kuch masla hai. Order k mutabiq hum ne time pe export kia hai aur quality ko khud unhi logo ne pass kia isk bawjood humarey accounts the nai hain."
Zaira iss masley se pareshaan thi kyoun k woh Safoorah kay radd e amal jaanti thi.

"Kia matlb hai. Tumhari office mein Amir Syed sahab se mulaaqaat hui hai?"

"Mein office se hi arhi hun fia pr msla humarey workers ne nahi kiya hai."

"To phir!"

"Amir Syed sahb ko 2 bills mein misunderstanding ho gyi thi. Woh 2 orders ko ulta samajh bethey thai. K. Textiles ki tarf se payment poori nai ayi. "

"Lgta hai mujhe ek chakkar lga lena chahiye. " Woh file ko baghaur dekh rahi thi.

"Aap inn logo kay mun kyoun lg rahi hai .. Amir syed sahb se kehtey... "

"Amir Syed Sahb humara ghar nahi smbhaltey Zaira. Hum smbhaaltey hain. Survive krna hai to zabaan hilaani parey gi, tareekey se. Woh shayad larkiyaan samajh kay underestimate kr gya hai!"

Safoorah mun hath dhoney kay liye uth gyi thi.

"Sarey asool theik hain pr aap idhr jazbaati ho rahi hain. Agr aap uss dhokeybaaz ki shikayat.... "

"Zaira mashwarey ka Shukriya ab tum jao aur 15 minute mein mujhe neechey garage mein milo."

Jawaab ka intizaar kiye beghair Safoorah bathroom ka darwaza bnd kr chuki thi.

Zaira ki aankhon mein ek takleef ubhri thi.. buht gehri, tootey kaanch jesi yaadoon ki takleef.

_____________________________

Kamrey mein neem roshni thi aur woh isi roshni mein kitaab parh raha tha.

"Betey agr parhna hi hai to kam az kam lights to jala lia karo. Aankhain kamzor ho jaye gein."

Kitney ghanto se woh aisey hi sofay pe neem daraaz kitaab parh raha tha. Pata nahi kitaab parh bhi raha tha ya kahi dur kisi aur duniya ka safar teh kr raha tha.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now