Chapter 34| Poori Hui Dua

4.6K 351 653
                                    


__________________

"3 saal pehle kya hua tha?"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"3 saal pehle kya hua tha?"

Safoorah ne chehra utha kar ussey daikha aur who waqqi aj ussey sb btaana chahta tha.

"Sard farsh pe dil torra tha na tumhara saza mili thi bass."

Woh uski aanko mein daikh kar bola tha.

"Ruhaan!! Tumhey pata hai jb mein ney apni aankho kay samney tumhari gaari ko jaltey daikha tha. Mein ro hi ni paayi. Mujhe laga kisi ne ek naizza seedha mere dil kay aar paar kar dia hai. mujhe na saans lene diya gya na ronay dia gya. Bss mere khushk jism se kisi ne rooh nikaal li. Ruhaan Safoorah ki rooh hai . tum gye toh laga koi meri rooh le gya hai. saza sirf ek ko nahi dono ko mili thi. Ek khoobsurat rishtey ko apne mufaad k liye deal bnaaya tha hum ney!" wo khuwaab ki si kaifaiyat mein bol rahi thi.

Dono aaj dil mein qayd maazi kay dard ka har parinda azaad kr dena chahtey thai.

"Aur uss waqt Ruhaan ki rooh waqqi uskay jism se chali gyi thi shayad. Pata hai safoorah uss raat mein babba se mila. Mujhe koi takleef aur dard yaad nai siwaye uss khwaab kay ya phir shyad who ek haqeeqat thi. Mein babba se mila aur jaanti ho unho ne mujhe kia dia?"

Safoorah ne nafi mein sar hila dia. Woh dono hi ek dusrey kay seharr kay zairr e asar lag rahey thai.

"Safaid gulaab! Aur kaha yeh mein tumhey de dun!"

woh khwaab jo abhi bhi uskay zehan mein iss trha taaza tha jese kal dekha ho.

Safoorah hlka sa muskura di thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Safoorah hlka sa muskura di thi.

"Phir tum ne kia kya?"

Safoorah baghaur ussey daikh rahi thi.

"Mein itna uljha tha, takleef mein tha kay unn kay saath jaana chahta tha pr uho ne mnaa kr dia yeh keh kr kay kisi aur ko meri zrurat hai!"

Woh dono dheemey lehjey mein ek dusrey se mukhatib thai. Raat kay iss pehar khamosh raat ki zard roshni mein woh dono ek dusrey ka ek ek lamha sunn rahey thai. Ek dusrey ki fiqrmnd saansein aur taiz chalti dharkanei tk sun sktey thai.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now