Chapter 6| Deal

3.9K 325 116
                                    

Tu jo zindagi ki baazi khailey phirta hai
Khud ko kia samjha baitha hai
Saari umar inhi mitti kay puttlo ko
apne ishaaro par nachaya hai

-selfwritten

Raat ho chuki thi aur haveli jaaney ka acha khaasa plan filhaal cancel ho chukka tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Raat ho chuki thi aur haveli jaaney ka acha khaasa plan filhaal cancel ho chukka tha.

Us waqt se sab apne kamro mein hi thai aur ek dusrey kay saamney aaney se guraiz kar rahey thai.

Ruhaan ne Daadi jaan kay kamrey ka darwaza dhakaila aur andar daakhil hua. Woh khamosh bistar par baithi Quraan ki tilawat kar rahi thi.

Wo bhi sanjeeda sa unkay paas a kar baith gya.

(SURAH HUD )

هود 11:123

وَلِلّٰہِ غَیۡبُ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضِ وَاِلَیۡہِ یُرۡجَعُ الۡاَمۡرُ کُلُّہٗ فَاعۡبُدۡہُ وَتَوَکَّلۡ عَلَیۡہِؕ وَمَا رَبُّکَ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُوۡنَ

And to Allah belong the unseen [aspects] of the heavens and the earth and to Him will be returned the matter, all of it, so worship Him and rely upon Him. And your Lord is not unaware of that which you do.

|•Explanation acc. To my understanding•|

Tumhara Rabb jo tum kehtey ho uss se bhi waaqif hai aur jo tum chupaatey ho uss sey bhi waaqif hai. Na sirf Duniya ya kainaat mein honay wali har sheh pe uska ikhtiyaar hai balkay arsh, asmaan, jannat aur jahanum ka bhi wohi maalik hai. Tum sab uss hi ki taraf lotaye jaou gai so uss ki ibadat karo aur apne har kaam kay liye ussi par bharosa karo. Aur tumhara Rabb uss se na waaqif nai hai jo tum kartey ho.
Tum chahey khud kitni bhi tadaabeer anjaam dai lo, ho ga wohi jo mere Rabb ka faisla hai. Agr tum uski ibadat karo, ibadat kia hai? Har acha kaam. Chahey woh ek muskurahat hi kyoun na ho. Chahey woh kisi ka dil halka krna hi ho. Chahey woh ek jumla achaai ka bolna hi ho. Hum ko iss sab ki fikar nai krni kay kon kia karta hai . Humey apna kaam jaari rakhna hai. Aur madad kay liye Allah par tawakul krna hai. Woh Malik hai, Arsh o azeem ka Maalik, Rehmaan o Raheem woh takleef deta hai pr asaani kay sath. Har dil ka tootna ek banjar zameen kay zarkhaiz honay ki nishaani hai. Tum apne har kaam kay lye Rabb ki tarf lotaye jao gai. Baishak mera Rabb tumhey daikhta hai. Tumhara har aansu, har achai , har buraai.

" آیا عصبانی هستید؟"
(aap naraz hain?)
Subah ka saara ghussa jhaag ho chukka tha.

"Nahi!" Unho ne urdu mein mukhtasir jawab dia.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now