Chapter 2| Manjdhaar

6.8K 405 296
                                    

اب کہاں ہوں کہاں نہیں ہوں میں
جس جگہ ہوں وہاں نہیں ہوں میں
کون آواز دے رہا ہے مجھے
کوئی کہہ دو یہاں نہیں ہوں میں

- 5 SAAL PEHLEY -

PUNJAB, PAKISTAN

"Mubarak ho Aurangzeb Sahb ek aur zameen apki hui

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Mubarak ho Aurangzeb Sahb ek aur zameen apki hui."

Zafar Khan ne galey lg kar mubarak di.

"Arey Zafar Sahb jb tk aap jese qaabil bussiness man humarey sath hain, Humari Jageer ka naseeb Mubarak hi hai !"
Woh kaafi purjosh dikhayi de rahey thai.

"Chalein to phir btayei k agli fasal kb bhej rahey hain ?!"

"Bss janaab! Ajkal kattai hai. Aur haan Do din baad baisakhi ka mela bhi hai aur sath sath zameen ki khushi bhi. Ap apne poorey khaandan k sath arhey hain basss!! "

"Zaroor aye gai jee kyoun nai !filhaal ijazat dein mujhe shehar k lye nikalna chahiye.!"

"Andr havaili mei apk lye khana lgwaya hai Zafar Sahab. Khaa k jayiee!"
Aurangzeb ne mehal jesi haveli ki trf Ishara krtey huey kaha.

"Arey nai phir kbhi sai. Do din baad khaana bhi khaye gai aur yhan ki mashoor lassi bhi piyain gai. INN SHAA ALLAH!"

"Chalein jii. Rabb Raakha faer!"

Aur yeh tha Punjab k 2 ameer tareen gharaano ka taruf. Ek Apne ilaaqey k sb se barrey jageerdaar aur dusrey apne shehar k sb se namwar textile industrialist.

______________________________________

"Babaaaaaaaaaaaaaaaaa !" uss ne apna shaandaar mehal sar pe utha rakha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Babaaaaaaaaaaaaaaaaa !" uss ne apna shaandaar mehal sar pe utha rakha tha.

"Dekho zara kaun aya hai???" Aurangzeb Sahb uski awaaz hazaaro mein bhi pehchaan sktey thai.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now