Chapter 16| Dil se nikley hain yeh Lafz

4.2K 338 390
                                    


Muhabat ki tamanah hai toh phir woh wasf paida kar
Jahan se ishq chahta hai wahan tak naam paida kar
Agr sacha hai mere Ishq mein to ay bani adam
Nighaa e ishq paida kar,
Husn e zarf paida kar
Mein tujh ko tujh se ziada aur sb se ziada chahun ga
Magr shart yeh hai kay apney andr meri justujo toh paida kar
Agr na badlun teri khaatir har cheez ko toh kehna
Tu apne aap mein pehle andaaz e wafa to paida kar

~ Iqbal

Kuch lamhey tehr jaatey hain aur un lamho mein kahey gye lafz bhi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Kuch lamhey tehr jaatey hain aur un lamho mein kahey gye lafz bhi. Pehli baar kisi larki ne Ruhaan kay saamney, nadar ho kar seedha aankhain daal kar uskay mizaaj kay khilaaf baat ki thi. Sach kahi thi ya nai... Yeh woh dono bhi sahi se nai jaantey thai. Bas uss lamhey jis ko jo sahi mehsoos hua usne kar dala.

Baarish unhey taqreebn bhigaa chuki thi. Safoorah ne jhatkey se apna baazu churaya aur tez tez seeriyon ki jaanib opar barh gyi.

_________________

Woh darwaazey ko chaabi se khol kar dharam andar ayi thi.

"Fia? Kia hua hai?"

Zaira hairaan pareshaan si aagey ayi thi. Nia aur Melissa apne kamrey me so chukey thai.

"Tu soi nai?" Safoorah ne sarsari sa khud ko normal krtey pucha.

"Nai. Aap bheeg kese gyi hain aur aap......."

woh hichkichayi thi.

"Roi hain?"

"Mein Ammi kay jaaney par aakhri dafa roi thi Zaira! Uskay baad aankhain nm ho bhi jayein to mein inhey chalakney nai deti! Safoorah itni kamzor nai hai!"

Woh yeh kar kamrey kay andr gyi aur darwaaza bnd kr lia. Zaira jaanti thi dastak baiqaar hai woh taal dey ga. Ab to subah hi pata chal sakta hai kay kia hua hai.

Woh kamrey ko lock krti almaari ki trf ayi thi. Kaprey aur towel le kar woh bathroom chali gyi thi.

Kuch dair baad baahir ayi to raat ko sonay waley kapro mein thi. Uski naak cheenko se laal ho chuki aur aankho mein paani thi.

Woh bistar par gir si gyi. Iss waqt woh beghair kuch sochay samjhai bs sona chahti thi. Insaan yahi to krta hai. Neend usssey apna sb se behtareen faraar lgti hai. Masla aankhain bnd kr lene se khatam nai hota lekin woh apni hissiyaat waqti torr pe khatam kar leta hai.
______________________

Raat kay 2 bj rahey thai aur barf si jmti basement mein koi larr raha tha. Kis se?

Yeh to shayad larney wala khud bhi nai jaanta tha.

Yaakh basta wooden floor pe kharey uss shakhs ne sirf black sports trouser aur boxing gloves pehney thai aur punching bag ko mar mar kay halkaan kar chukaa tha. Paseeney palko tak se gir raha tha mgr whan kis ko fikr thi. Ek ghntey se Ruhaan iss maidaan mein tha.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now