Chapter 17| Bss itna hai tumse kehna..

3.9K 324 545
                                    


Ahista Chal ay zindagi
Abhi lamhey samaitna baaki hai
Abhi muskurahatey baikhairna baaki hai
-my own

Connecticut ki sardiyaan khoobsurat to thi hi lekin khoon jma deney jitni sard bhi. December ka aghaaz ho chuka tha lekin abhi barf baari nai hui tha aur inhi dino mein hua karti thi.

Culture festival weeks chal rahey thai aur iskay foran baad poorey Yale's kay Final exams thai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Culture festival weeks chal rahey thai aur iskay foran baad poorey Yale's kay Final exams thai.

Yale ka ek andaaz tha. Festival ho ya exams har occassion ko iss andaaz se mnaya jaaye jese koi kal na ho.

Festival ki badaulat front ground buht khoobsurat sajaya gya tha. Whan offwhite tents kay sath centrally heated system tha. Sb departments mil kar groups bna sktey thai aur koi bhi theme select kar sktey. Har ek ko koi bhi ek culture le kar uski rivaayat achey se btaani thi. Kapro, mauseeqi ya kisi bhi tradition ka istimaal kia ja skta tha.

Sb hissa le chukey thai siwaye inn chaar kay. Ruhaan ko chor kar yeh teen to pre-decided thai so ab Mr. Akarr Khan ko mnana reh gya tha jo kisi mulk ka shaahi bridge bnaney se ziada mushkil tha.

Shaam kay 8 bje Ghantiyaa agr saans na lein to samjh lena chahiye darwaazey pe Safoorah hai. Ruhaan bhi samajh chuka tha.

"Kahiye?" Darwaaza khol kar apna wohi makhsoos andaaz liye khara tha. Aur Safoorah hamesha ki trha ussey daikh kar kahi aur hi chali gyi thi.

Ruhaan ne uskay aagey chutki bjayi thi aur Safoorah hawaaso mein wapis ayi thi.

"Yeh bell bja kar tumhari yaadasht chali jaati hai kia?" Ruhaan eyebrow uthaye ussey mashkook nazro se daikh raha tha.

"Very funny!" Safoorah darwaaza dhakailtey andr ayi thi.

"Funny to tha khair!" Ruhaan mehzooz hota darwaza bnd kr raha tha.

"Fia kia time pe ayi hain yar! Aye hayee abhi popcorns bnaye hain aur yeh rahey chips. Ru ne to apna boring case tyaar krna hai. Ap aur mein movie daikhtey hain!"

Aarish kitchen se ek hath mein popcorn aur dusrey chips pakrey nikal raha tha lekin mun dono se bhara tha aur usme bhi bichara bolney ki poori koshish kar raha tha.

Safoorah ne aankho se ishaara kia tha aur ussey samjh ayi thi kay woh yhaan kyoun ayi hai.

"Oh haan haan nai haan bilkul!" Aarish bichara cover bhi intihaai burra krta tha, Safoorah ki trhaan.

Safoorah ne ek lmbi saans li aur Ruhaan ki trf murri.

"Hum cultural night mein participate kar rahey hain aur mein hum chaaro ko naam likhwa chuki hun!" Safoorah ek saans mein bol gyi thi aur Ruhaan baitaassur sa khara tha.

"Pata hai!" Ruhaan ne sukoon se kandhey uchkaye thai.

Safoorah ka mun khula tha aur Aarish ka mun to khula e tha lekin uskay andr se poopcorn bhi girrey thai.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now