Chapter 15| Barf sa sard

3.8K 375 499
                                    

Connecticut ki hawayein ab sard ho chuki thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Connecticut ki hawayein ab sard ho chuki thi. Whaan ka November bhi saakht sard tha khaas kar kay raatein. Abhi barfbaari ka aghaaz nai hua tha mgr halki halki boondha baandhi thi.

Zaira so chuki thi par Safoorah so nai pa rahi thi. Woh zaira kay baalo ko sehlaatey huey zard roshni mein teen ghnto se neem daraz thi. Shayd kuch zehan mein atak gya tha.

Zaira kay aansu?

Aarish ki sanjeedgi?

ya phir

Ruhaan ka khyaal?

Woh inn teeno ko mukhtalif zaaviyo se soch rahi thi. Woh jo kuch mehsoos kar rahi hai par kia aisa waqqi hai ya phir aaj kay waqiye ne ussey zehni torr par pareshaan kr dia hai bass....

Kon jaaney?

_______________________________

Aj ki subah roshan aur chamkti utri thi. Sooraj jamti zameen par apni hidat se har murjhatey phool ko taazgi bakhshney ki koshish kar raha tha.

Safoorah aur Zaira bag uthaye taizi se neechi uttar rahi thei. Hasb e mamool Safoorah ne uthney mein dair kr di thi.

Zaira qadrey normal aur sambhli hui thi. Woh jaldi mein pehle hi gate se baahir nikal gyi thi ya shayad jaan boojh kar bhaag gyi thi.

"Safoorah?" Ruhaan iss duniya ka waahid insaan tha jo ussey uskay poorey naam se pukaarta tha aur iss andaaz se pukaarta tha kay naam Safoorah na bhi ho to bhi jaaney waley murr kay zrur daikhain.

"Mr. Akarr Khan aaj mere paas time nai hai mujhe bhaagna ho ga!" Woh muskurati hui murri thi.

Woh jaibo mein hath daaley baitaassur sa khara tha.

"Tum soi nai?" Ussey sirf ek minute laga tha.

"Iss duniya mein sb se ziada neend mujhe aati hai. Blkay tumharey shehr ki sardiyaan itni zabardast hain insaan bhi hibernate kr jaye!" Woh hansi thi.

Ruhaan jawaabn sar jhatak kar halka sa muskuraya tha.

"Tum jhoot kaafi bura bolti ho khair Zaira theik hai?" Woh sanjeeda hua tha.

Safoorah ne koi jawaab nai dia. Bas ahista se asbaat mein sar hila dia. Issi duraan Safoorah ko yaqeen nai aya kay Aarish waha se kb guzra aur gaari mein baith kar reverse krne laga tha.

Woh waqqi hairaan hui thi. Par zaahir nai honay dia.

"Allah Hafiz!"

Woh Ruhaan ki nighaao ko baar baar khud mein jhaankta mehsoos kar rahi thi. Islye whaan se bhaagna hi munasib samjha.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now