Chapter 12| Husn e Nazar

4.3K 284 1K
                                    

Yeh to bas tera husn e nazar hai wrna pathar heera aur heera pathar hai

Yeh to bas tera husn e nazar hai wrna pathar heera aur heera pathar hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

_______________________________

"Aap dono aisey bus pe jayein gi?"

Rang sookh chukey thai pr lg abhi bhi alien hi rahey thai.

"Nai meri ek class fellow hai, Lucy woh ussi side pe rehti hai. woh nikal na gyi ho. Woh chor de gi."

Safoorah kay dimaagh mein bs sharartein aati thie unkay baad ka hal nai.

"Aisey acha nai lagta, aap humarey sath chalein hum drop kr dete hain!"

Woh chaaro campus kay back garden mein kharey thai. Ruhaan aur Zaira kisi soch mein thai.

"Nai , it's okay mein lucy ko ....." Safoorah ne jumla mukammal nai kia tha

"Aarish theik keh raha hai. Tumhey iss halat mein wese bhi koi apni gaari mein baithney nai de ga!"

Ruhaan ka wohi maghroor andaaz.

"To tum bhi yeh ehsaan na karo!" Safoorah yeh zrur kehti agr Aarish agli baat pehle shuru na kr deta.

"Acha please. Phir dono shuru ho jayein gai. Chalein. Seats ka koi msla nai hai. Leather hai, saaf ho jaye ga!"

Woh dono Aarish kay sath aagey barh gyi thi.

Ruhaan traffic pole ki trhan khamosh sa un sb kay peechey chalta raha.

_________________________

"Aap yhaan rehti hain?"

"Acha hai na?"

Safoorah khushi se boli thi.

Aarish apni hansi bamushkil rok paaya tha. Woh stearing wheel par jhuk kay paaglo ki trha hans para tha.

"Kia hua hai?"

"Yeh humara ghr hai!" Aarish hansney kay darmyaan bamushkil bol paaya tha. Ruhaan ne baizaari se hath maathey pe rakh lia. Bass isi ki kami thi.

"Kia mtlb. Hum to opr rehtey hain aur neechey .... !"

"Ohoho Ru, yeh woh naye paying guest thai jinka Nia ne bataya tha!" Aarish ko dili khushi ho rahi thi aur Ruhaan utna hi tapp raha tha.

"Par neechey to ..... koi nai rehta tha!"

"Astaghfirullah, neechey Yales kay laiq tareen STUDENTS rehtey hain. Aapse kis ne kaha koi nai rehta. Ru ko case tyaar krna tha to woh Arsh kay ghr thai 3 din se aur mein raat late aata tha aur subah basketball match kay lye jaldi nikal jata tha. Shyd isi lye aapne notice nai kia!"

"Par yeh to andhere mein dooba rehta hai. Nia ne bhi nai btaya!" Safoorah ki hairat kisi surat km nai ho rahi thi. Dosti apni jga lekin yeh ziada ho gya tha.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now