Chapter 32| Charha Dey Rang

4.6K 319 798
                                    

Woh dressing table par parrey jhumkey utha kar pehnney lagi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Woh dressing table par parrey jhumkey utha kar pehnney lagi thi. Safoorah siyah golden rang kay ghair waley iarri tk chootey frock mein malboos ayney kay saamney kharri thi.

Ruhaan collar seedha karta kamrey kay andr daakhil hua tha. Siyah shirt coat pant pehn rakha tha aur geeley baal gel se set kiye woh waaqi angraiz vakeel lg raha.

Wohi khushbu jo 5 saal pehley bhi uskay aaney ki khabar Safoorah ko de dia karti thi.

Uska baazu buht behtr ho gya tha. Poori trha na sai lekin pehli dfa milney wala yeh kbhi bhi nai jaan skta tha kay uskay baayein baazu ko wazan uthaney mein diqqat hai. gaari bi baasaani drive kr leta tha.

Safoorah ne sarsari si nazar sheeshay se jhalaktey uskay aqs pr daali thi. Phir khud ko daikhney lgi thi. Jaanti thi woh ussey daikh raha hai. shayad dono hi iss lamhey ka yaqeen kar rahey thai.

Ruhaan kay cufflinks Safoorah kay saamney mayz pr parrey thai . woh masshoor sa Safoorah ki trf barha tha aur ayn uskay peechey a khara hua. Woh uskay khulay baalo ki mehak mehsoos kr skta tha. Woh kuch kehta iss se pehle safoorah murri aur uss se kuch faasla krti khari ho gyi.

Safoorah uski trf nai daikh rahi thi.

Woh shayad zindagi mein pehli bar itni nervous thi. Uskay chehrey kay tassurr tanney thai lekin uski hichkichahat waaziyah thi.

"Chance deney ka maqsad harghiz aisa raasta ikhtyaar krna nahi tha jiski koi wapsi na ho!"

Woh hr trf daikh rahi thi siwaye uskay chehrey kay.

Uski aankhon mein takleef thiándaishay thai, khauf tha, ghussa tha, yeh sb kuch normal honay mein kitna waqt algey ga? Kon jaaney?

"Hum saath zrur reh rahey hain lekin apni haddein na bhoolein to behtar hai! aaj se mein couch par so jaoun gi. Tumharey paas iss semester kay khatam honay tk ka chance hai. 3 maheeney. Tb tk baba ka ilaaj bhi ukammal ho jaye ga. Agr mera dil tb bhi mutmayeen na hua toh iss baar mein kbhi yhaan wapis na aaney kay liye Pakistan chali jaoun gi."

Safoorah ne murr kr dressing table pr parra apna purse uthaya aur ruhaan ko whan hanooz khara chor kr aagey barh gyi.

"Zaira aur Aarish ka kya?"

Ruhaan jaibo mein haaath daaley pursukoon sa murra tha. Safoorah ki uski trf pusht thi.

"Apni wjah se unn dono ki zindagi tabah nai karun gi. Woh jo faisla lein mujhe manzoor hai!"

Wo yeh kehti bahir chali gyi aur Ruhaan dressing table pr cufflink para utha kar pehnney laga. Wo khafeef sa muskuraya tha.

Barf ki sil pighalney lgi hai woh jaanta tha. Uss se behtr kon jaan skta hai Safoorah ko?

__________________________

"What a beautiful surprise. Mein sam se pehle hi kehti thi tum dono ek intihaaai cute couple ho pr wo kehti thi tum dono sirf dost ho!"

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now