Chapter 4| Intizaar

4K 283 147
                                    


"kabhi uss muqaam par a k dekho
Jaha intizaar bhi hai aur zawaal bhi
Tum puchtey ho Khuda kia hai
Ik sarkash se jisne noor dekha hi nai "
-my own

Yeh chehal pehal mamool k khilaaf thi.
K. mansion ki khamosh siya safaid deewaro mein yeh dono awaazein kuch alag hi rang ghol rahi thei.

Shaista gulabi raishmi saari mein malboos awaazo k taqub mein hairat se daadi jaan kay darwaazey pe ruk gyi.

"Ruhaan Beta!!! Tum kb aye? ek phone kr dete driver lene ajata!"

Daadi jaan aur un kay hansi mazak ko Shaista ki awaaz ne jese ek dm sard sa kr diya.
Aarish sanjeeda sa seedha khara hua aur Ruhaan apne makhsoos andaaz mein palta tha. Bai-tassur chehra liye unhey daikh raha tha. Albata Daadi jaan muskura rahi thei.

"Zehmat hoti apko!" jaibo mei hath daaley sard lehjey mein bola.

Alfaaz ne Shaista ka chehra pheeka kr diya tha mgr woh phir bhi muskuraney ki koshish kr rahi thi.

"Good evening aunt!" Aarish ahista se bola tha jiska Shaista ne koi khaas jawaab nai dia. Woh kuch qadm Ruhaan ki trf barhi thi k peechey se ek aur awaaz sunai di.

"Shaista jaldi karo dair ho rahi hai!"

Zafar Khan siyah coat, pant, tie aur cufflinks mein khaasi bawaqaar shakhsiyat lg rahey thai. Yeh zayr kr dene wala shakhsiyat inn sb ne virasat mein paayi thi phir chahey woh inkay daada Zaeem Khan hon ya unkay sahab zaadey Zafar Khan aur marhoom Sohaib Khan. Yahi viraasat Ruhaan aur Aarish ne bhi paayi thi.

"Kese ho bacho. Kb aye. Btaya kyoun nai ?" Woh chehrey pr halki si muskurahat liye Shaista k sath kharey ho gye.

"Good evening baba!"
Aarish, Sohaib khan ki wafaat k baad se Zafar Khan ko baba hi kehta tha.

"Theik hun bchey. Tum kese ho? Kitney dino k lye aye ho tum log Pakistan?"
Unho ne khush dili se pucha tha. Aarish ne nazrei Ruhaan ki trf ki jese ab jawaab dene ki uski baari hai.

"Pata nai. Shayd kal chalein jayei!" Ruhaan usi baitasur lehjey mein dono ko chubthi nighaao se dekhta bola.

"Bauhtiya fazool galaan na kar mere samney. Mein chittar la leney ney!"

Daadi janam ki awaaz Ruhaan ko jese kisi gehri soch se haal mein kheench laayi thi aur woh chehrey pr kuch narmi laata unki trf mur gya.

"Fikar na karein iss baar poora maheena rahein gai aur woh bhi apki pasandeeda haveli mein!"
Ruhaan ne muskura kar Daadi jaan ka hath chooma.

Aarish bhi khush hua tha mgr Zafar aur Shaista k chehrey pr gehri sanjeedgi thi. Woh apne betey k raviyey ko jaantey thai. Woh jantey thai k Ruhaan par na unki sakhti asar krti hai na pyaar. Ek waqt tk aap apne bacho ko daant'tey hain, sahi ghalt ki tameez sikhaatey hain aur woh waqt shayad inn dono ne apni apni masroofiyaat mein guzzaar diya aur jb betey firangi mahol mein jawaan huey toh waqt ne in sbb k darmiyaan ek gehri lakeer kheench di.

Shaista Aarish ko pasand nai krti thi. Woh zabaan se kuch nai kehti thi mgr Aarish ki legal adoption k baad se unka raviya Aarish k sath khicha hi rehta tha. Baqaul unkay, Ruhaan ko Aarish ne unse dur kia hai. Zafar Khan albata samjhdaar thai lekin samjhdaar se samjhdaar insaan bhi kahi na kahi ghalti kr jata hai aur ghalti k ehsaas hone par Allah mauka de deta hai mgr insaan nai deta.

Woh jantey thai k Ruhaan unsey buht dur ja chuka hai aur yeh faasla srf zameeni nahi balkay zehani bhi tha.

Aisa faasla jiski qeemat shayd zindagi hai.
Aarish unki izzat bhi krta tha aur muhabat bhi mgr dur toh woh bhi tha.
Inn sb ne Rishto ki uljhi dorron ko waqt pe chor dia tha. Koi maujza ho jaye. Aur yeh ghr phir se jurr jaye. Par shayd yeh namumkin tha. Kyoun k iss ghar ney woh khoya tha jo sirrey se kabhi paaya hi nai, Ruhaan aur Aarish.
Daadi jaan jesi zaheen aur ghar ko samait kr rakhney wali khaatoon bhi Ruhan ka zehan badalney mein nakaam rahi thei. Tb hi woh issey buht tareekey se samjhati thi. Aur jb Zafar aur Shaista ko samjhana chaha toh woh Duniya ki dhaurr mein aisey bhaagey k apney karobaar ko sawaartey sawaartey rishtey kho baithay.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now