Chapter 26| Faasley

3.5K 306 412
                                    

Waqt sikha deta hai jeeny ka hunar

phir kia naseeb, kia qismat aur kia haath ki lakeerain

phir kia naseeb, kia qismat aur kia haath ki lakeerain

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


-Flashbacks are in italic bold-

"Daihaan se. Zada pressure nai do joints pe. Araam araam se walk karo!
Ruhaan ko hosh mein aye ek hafta ho chuka tha aur ab tk woh hospital mein hi apne physiotherapy sessions le raha tha. Ab woh ahista ahista chalney kay qaabil tha. Lekin baayaa baazu baiqaar lgta tha. zakhmo mein behtari waaziya thi. Dr. Sitaara muskuratey huey Ruhaan ka balance barqaraar rakhney mein madad de rahi thi. Woh buht khush shakal khush ikhlaaq aur sb se km umar aur qaabil Doctor thi. Woh Ruhaan se do teen saal hi choti thi.

"Ruhaan apka naam buht acha hai. Kia matlb hai iska? "

Woh uskay paas baithay ussey chalta daikh kar kisi soch kay tehat puch rhi thi.
Woh apne baarey mein yhaan kisi ko kuch btana nai chahta. Agr ab tk kisi ne khush kismati se yeh nai pehchana kay woh mashoor industrialist Zafar Zaeem Khan ka beta hai to acha hai. Filhaal itni taqat nai kay sb kay sawaalaat ek saath sambhaal sakey. Woh ziada tar Khamosh rehta tha aur aj ussey yhaan se discharge ho jana tha. Dr. Safdar se baat ho chuki thi aur woh Ruhaan ko wapis haveli ki trf le janey kay lye razamndi de chukey thai.
Lekin Dr. Sitaara ka Ruhaan ko le kar ghair mamooli ehsaas aur khyaal tha. Iss professionalism mein jazbaat ka shaamil hona kuch theik nai tha aur woh yeh baat samajh rahi thi .

"Babbaa yaani mere Daada ne ek baar kaha tha kay unho ne Qura'an mein iska mtlb Ruhaaniyat aur Khushaali parha hai!"

Woh khurdurey se lehjey mein jawaab deta ahista ahista chal raha tha.
Woh muskurayi thi.

"Iska mtlb yeh naam apkay Daada ne rakha hai aur yaqeenan Aap un se buht attached ....

"14 saal ka tha jb unki death ho gyi thi. "

Woh chaltey chaltey ruk gya tha aur ussey apna woh khwaab yaad aya tha jo aaj bhi zehn mein utna hi taaza tha jese woh khila hua safaid phool aur safaid phool sirf ek insaan ki yaad dilata tha ussey.

"I'm sorry!"

Woh kuch mayoos si hui thi. Woh jb bhi Ruhaan se ziada baat krne ki koshish krti thi, Ruhaan bs ek jumla ya do lafz mein baar mukammal kr deta tha.

"Aap naamo pe believe kartey hain?"

Usne mauzoo badalney ki koshish ki thi.

Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]Where stories live. Discover now