Chapter 2

2.5K 136 70
                                    



"Rayah"

"Hmm?"

"Kal shopping ke liye chalen?"

Woh dono lounge me movie dekh rahi thin jab Raima ne Rayah se pucha tha.

"Kal to nahi jaa sakti main"

Rayah ne sofey pe laite laite tv se nazre hatate hue bezar tassurat ke saath kaha.

"Nahi kahun gi tumhe kuch le kar dene ko kanjoos aurat..!"

Raima ne popcorn khaate hue kaha.

"Woh to maine waise bhi nahi le kar dena tha magar kal office ke kaam se jaana he!"

"Lekin kal to sunday he?"

Raima kuch heran hui.

"Yeh baat jaa kar mere manhoos boss ko batao!"

Usne phir se mu charaya. Raima uska chehra dekh kar hans pari.

"Kitni baar kaha he boss ko aise mat kaha karo."

Mahnoor haath me chai ke teen cup liye andar ayi thi.

"Uff Ammi aap mujhse zada mere boss ki maa hen! Main to wese bhi aap ki soteli beti hun na"

Rayah ke drame itni jaldi khatam hone wale to the nahi!

"Bara rouka tha Hayat ko ke mat adopt karen is bachi ko. Lekin kya krun shohar the naa nahi kar payi"

Rayah pura mu khol kar unhe dekhne lagi. Aur Raima apni hansi roukne ki puri mumkin koshish karne me masroof thi. Mahnoor ne kuch der uska woh chehra dekh aur phir qehqa laga kar hans pari.

"Ammiii!!"

Rayah uth kar unki taraf gai aur unke gale se lag gai.

"Wese Ammi aap acting ke liye try kar letin! Kasam se aaj Pakistan ki top ki actress hotin"

Raima ne dusre sofe per bethe beteh kaha tha. Mahnoor ne hansna band kiya aur muskurate hue use dekh ne lagin.

"Sahi baat he phir aaj tum dono naa hoti!"

"Arrey kyu! Baba ki aur aap ki love story to poori ho ke hi rehni thi takdeer me likhi hui thi aap dono ki shadi!"

Rayah ne muskura ke kaha tha.

"Khuda jaane takdeer me likhi hui thi ya sirf humari khudgarzi thi"

Mahnoor yak dam jese kisi aur hi duniya me chali gai thi.

"Kya aap ko pachtawa he apne decision per?"

Rayah ne unke saath bethte hue pucha.

"Nahi pachtawa nahi he. Tumhare Baba ne kabhi aisa mouka hi nahi diya tha ke main pachtati. Bas kuch afsous he... apne maa baap ka dil apne bhai ka maan torne ka...."

Unki ankhe nam ho chuki thin. Aaj bhi yeh baat unki ankhe usi tarah num kar deti thin jese 28 saal pehle kiya karti thin. Jab unho ne apne ghar se bhaag kar Hayat Khan se shadi ki thi. Unhe us din bhi apne maa baap bhai ko dukh dene ka afsous tha aur aaj bhi tha aur shayad yeh puri zindagi rehna tha.

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now