"Lala rehne dete hain na do din baad aap ka nikah he tab dekh lena?!"Palwasha yak dam chalte chalte ruki aur Azaan ki taraf mur kar kehne lagi.
"Theek he. Lekin phir iPhone nahi mile ga"
Usne ankhe surkha ke kaha to palwasha ka mu khula ka khula reh gaya.
"Umm...woh..theek he na leke dain! Main Nawfal lala se keh dun gi!"
Usne kaha aur woh murne lagi jab Azaan ne phir use rouka tha.
"Palwashay meri pyari behen nahi ho? Aaj tak maanga hai maine kuch?"
Usne is baar bacho ki tarah uski minnat ki to Palwasha ne apne dono bazu seene ke samne baande.
"Manga to kuch nahi lekin tang bohat kiya he aaj tak....khair! Ab aisi shakal banaen ge to mana to nahi kar sakti na"
Usne Azaan ki masoom shakal per tars khaa kar kaha aur uske kaan me kuch keh kar aage chali gai.
Azaan wahin khara raha tha kuch log aa jaa rahe the wahan se aur use dekh kar fukte Mubarakbaad dete aur phir aage chale jate.
Woh 5 minute tak wahan khara raha phir yak dam uska phone baja aur wahan per ek message aya hua tha jise dekh ke woh muskuraya aur phir apne aas paas dekhte hue siriyon ki taraf gaya.
Woh kisi agent ki tarah idhar udhar dekhta ehtiyaat se chalta hua Raima ke kamre ki taraf jaa raha tha. Woh jab Raima ke kamre ke samne poncha aur drawaza kholne laga to yak dam use apne akab se awaaz ayi thi."kya baat he dulhe miya?"
Usne mur kar dekha to wahan Rayah khari thi. Usne bhi yellow color ka sharara pehen rakha tha aur baalo ko bohat hi khubsoorati se curl kiye kamar per khula chora hua tha. Azaan use dkh kar harbaraya.
"Woh...main to bas P..Palwasha ko bulane aya tha...use Daa ji bula rahe hain na..!"
Usne kaha to Rayah uske paas chal kar ayi aur aur apne kamar per haath rakh kar khari ho gai.
"Acha ji? To shayad meri ankhe kharab ho gai he ya phir Daa ji ke paas Palwasha ka bhoot betha hua tha?"
Rayah ne ek halki si use cherne wali muskurahat liye kaha to Azaan tazbazad hua.
"Acha ab drame to band karo..! Aurr aap ki Raima aap ko ab tabhi dikhe gi jab woh Mrs Azaan ban jae gi! Is liye niklo yahan se warna maine Bibi jaan bula lena hai"
Rayah ne jese uski dhamki di aur Azaan uske andaaz per muskuraya.
"Jaa to raha hun lekin bohat ziyatti he yeh"
Usne kisi bache ki tarah shikayat ki aur jaane laga jab phir Rayah ki awaaz ne uske kadam rouke.
"Thank you..!"
"Kis cheez ka?"
Usne heran ho kar pucha.
"Meri Rami ko itna chahne ke liye aur uski muskurahat wapis laane ke liye. Woh tum jesa hi shaks deserve karti hai"
Usne kaha to Azaan muskuraya.
"Mera thanks mat karo..! Woh meri zindagi he. Aur apni zindagi aap ko apne paas muskurati hui hi achi lagti hai...!"
Usne kaha to Rayah ke chehre per ek gehri muskurahat ayi aur ankho me nami. Azaan wahan se chala gaya tha lekin shayad darwaze ke dusre taraf khari us larki ko woh phir ek nayi zindagi de gaya tha apne ilfazon se.
Raima darwaze ke saath lagi ankhe band kiye khari thi ankhe band thin aur honto per ek pur sakoon muskurahat thi.
Koi tha jo uski khatir apni har chees qurban karne ko taiyar tha.
Koi tha jo uska saath chahta tha zindagi bhar ke liye. Koi tha jo use apni zindagi maan ta tha....
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...