Raima washroom se bahir nikli hi thi jab darwaze per dastak hui thi.
Usne gale me scarf dala aur darwaza khola to wahan ek mulazima khari thi. Woh use nashte ke liye bulane ayi thi."Bibi jaan ne kaha tha ke aap ko bata dun ke nashta aaj bahir lagaya he. Aap wahan aa jaen"
"Acha theek hai"
Usne kaha tha aur mulazima wahan se chali gai thi.
Raima ne apne ek long sweater ke saath jeans pehni hui thi. Uske upar gale me scarf daal kar usne apne baalon ko ek joore me banda aur woh bahir ki taraf bhar gai thi.Jab woh Haweli ke bakiye hisse me bane bagiche me ayi to uske pear kuch der ke liye ruke the. Wahan table ke paas Daa ji bethe the. Uski baat cheet is ghar ke takriban har fard se hui thi. Siwae Daa ji ke. Woh ahista ahista chalti hui table ke kareeb ayi thi.
"Subha bakhair"
Daa ji ne uski awaaz per akhbaar se nazar hatayi aur use dekha tha. Woh kuch der heran rahe phir woh ahista se muskurae the.
"Subha bakhair beta. Ao betho"
Unho ne use apne saath wali seat per aa kar bethne ka ishara kiya tha. Raima unke paas aa kar bethi to unho ne ahista se uske sar per pyaar diya tha. Raima ke chehre per halki muskurahat ayi thi.
"Koi pareshani to nahi he yahan..?"
Raima Daa ji ki jhijhak mehsoos kar paa rahi thi.
"Jee koi pareshani nahi hai."
Daa ji ne halka sa sar hilaya tha.
Raima ko aise lag raha tha jese woh Raima se baat karna chah rahe the. Lekin na jane kya tha jo unhe rouk raha tha..?
Kuch der ke baad wahan chalta hua Azaan aya tha."Subha bakhair Daa ji"
Woh niche ho kar unke gale laga aur Raima ke samne wali kursi per beth gya.
"Raat ko kab aye the?"
Unho ne uske sar per haath pherte hue kaha tha.
"Raat ko kafi der ho gai thi. Ek accident ki wajah se emergency me kafi rush tha to bas aate aate 2 baj gaye."
Usne apne samne pare glass me juice daal te hue kaha tha. Raima khamoshi se unki baate sun rahi thi.
"Koi jaani nuksan to nahi hua?"
Daa ji ka agla sawal tha yeh.
"Nahi Alhumdulilah. Lekin doctors ki bohat kami hai. Hum sirf 4 Doctor's hain pure hospital me. Pehle in sab ko sahi karne me time lag gaya ab naye Doctor bhi dekhne paren ge."
Azaan kaafi stressed lag raha tha.
"Hmm...to tumne koi ad nahi diya?"
"Diya hai Daa ji lekin is pahari ilake me koi Doctor nahi hai. Aur koi itni door se aa kar rehne ko taiyar hi nahi hota.."
Usne kuch mayusi bari azaaz main kaha tha. Daa ji ne ek nazar Raima ko dekha tha jo khamoshi se sar jhukaye apni chai ko dekh rahi thi.
"Raima beta..?"
"..jee..?"
Daa ji ke aise yk dam bulane per woh heran hui thi.
"Tum Hospital kyun nahi join kar leti bache.?"
Raima ke saath saath Azaan bhi heran hua tha. Tabhi Bibi jaan Gulsher ke saath prathe ki plate haath me liye chali ayin thi.
"Kyaa bate chal rahi hain?"
Unho ne muskura kar pucha tha.
"Bas main Raima ko keh raha tha ke hospital join kar le"
Bibi jaan muskurai thin. Yeh baat unhe jese bohat pasand ayi thi.
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Roman d'amour"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...