Epilogue

2.2K 107 55
                                    


Dupeher ki tapti hui dhoop un paharo ke beech shaan se khari Haweli per par rahi thi. Haweli ke Backyard me pari kursiyon per sab bethe hue the. Uske kareeb hi Nawfal 7mah ki Zareen ko samne bithae khel raha tha.

"Rayah beta Raima se baat hui?"

Haider Khan ne pucha to Rayah ne  Nawfal aur Zareen se nazre hata kar unhe dekha to uske chehre ki muskurahat kuch halki pari.

"Nahi mamu..woh idhar udhar ki baato ke ilawa kuch nahi karti.."

Usne kaha to wahan bethe sab ke chehre ki muskurahat pheeki pari.
Happily ever after sirf filmo aur dramo me hotha  he humari zindagi me masle to aate hen aur unhe hum kisi bhi haal me rouk nahi sakte.

Haweli ki ek khirki me khare bahir dekhti Raima tuk tuk Zareen aur Nawfal ko dekhe jaa rahi thi.
Yak dam uski ankhe bhar ayi thi aur kab gaal per aansu aa gire use pata na chala aur uske baad bhi usne unhe saaf karne ki zehmat nahi ki thi. Tabhi use mehsoos hua ke peeche se uske aas paas koi jaane pehchane baazu hayal hue the.

"Aap kab wapis aye..."

Usne apne haath se chehre ko foran ragra aur usi tarah bahir dekhte hue kaha.

"Abhi abhi aya hun"

Azaan ne uske kandhe pe sar jhuka kar chuma aur use kandho se pakar kar apni taraf mora.
Raima apni ankhe jhukaye hue thi.

"Raima...meri taraf dekho.."

Usne kaha to Raima ne dheere se ankhe uthayi. Azaan ne Raima ki ankho ke kone ko apne haath se saaf kiya.

"Kyun kar rahi ho aise Raima...kyun apne aap ko takleef de rahi ho..jo hona tha woh ho gaya he aur use hum nahi badal sakte"

Uske chehre ko apne dono haatho me le kar usne narmi se kaha.

"Main bilkul theek hun Azaan meri fikar mat karen"

Usne kaha aur Azaan ka haath apne chehre se hata kar wahan se hat gayi. Azaan use dekhta raha yahan tak ke woh bahir nikal gayi.
Woh bhi bed per jaa gira apna sar haath me diye woh betha raha.
Itna bebass woh khud ko bohat arse baad mehsoos kar raha tha.
Pichle 2 mahino se woh khud ko beyhad tanha aur bebass mehsoos karne laga tha. Sab ke saath hote hue bhi woh use apne paas apne kareeb mehsoos nahi kar paa raha tha jo uska dil thi. 2 mahine pehle ki shaam kaash use chor kar na gaya hota kaash usne use ek pal ke liye bhi na chora hota...ab to sirf kaash hi to tha uske saath.

________

"Yeh so gayi?"

Nawfal Washroom se nikal kar bed ke paas aya to bed per ankhe band kar ke laiti Zareen aur uske saath laiti Rayah ko dekha.

"Tumhari beti he drame baaz"

Usne hans kar kaha to towel dusri taraf uchal kar woh araam se Zareen ke saath laita aur use muskura kar dekhne laga.
Ahista se apni ungli ke saath usne uska gaal masla to Zareen ne yak dam ankhe kholi aur khilkhila kar hasne lagi.

"Baaaaabbaaa"

Zareen ne haste haste kaha to woh dono yak dam chonke.

"Rayah isne Baba kaha abhi?"

Nawfal ne heran ho kar pucha to Rayah ne bhi apna khula mu band kiya.

"Agar mere kaan theek hain to haan baba kaha"

Usne kaha aur woh dono hansne lage pehli baar zareen ne Baba kaha tha. Yeh chote chote lamhe hi to the jo zindagi me rang bharte the.

"Sahi kehti ho meri beti meri tarah bohat cute hai"

Nawfal ne seedha ho kar use apne pait par bithaya aur Halka sa chehra mor kar Rayah ko kaha.

"Nahi ji cute to keri tarah he bas tumhari tarah drame baaz aur ziddi hai"

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now