"Rayah niche ao shopping ke liye jana hai!!"Rayah najane konsi soch me gum thi jab use niche se Raima ki awaaz ayi thi. Usne bezari se apni ankhe masli thi aur uth kar dressing table ke paas gayi aur apne baalo me bresh pherne lagi.
"Rayah? Yar kabse awaazen de rahi hun. Nawfal lala bichare kab se tumhara wait kar rahe hain."
Rayah ne apne baal apni kamar per chor diye the aur ab apna dupatta bed se utha kar apne kandho per le rahi thi.
"Taiyar ho rahi thi."
Usne kaha to Raima ne use sakht nazro ne dekha.
"Lag to kahin se nahi raha."
"To kya garara pehen leti?"
"Rayah jab ek faisla le hi chuki ho to ab us per khush bhi ho jao yaar. Agar nahi dil maan raha to apna faisla badal lo magar aise mat karo."
Raima ne bohat pareshani ke saath use dekhte hue kaha to Rayah ne use araam se dekh kar muskurai.
"Khushi ya na khushi ki baat nahi hai Raima bas samjh nahi aa rahi ke yeh sab sahi he ke nahi."
Raima ek kadam aage bari aur usne Rayah ke dono haath apne haath me le liye.
"Sab sahi ho ga. Mera dil kehta hai ke Nawfal lala se zada khush tumhe koi nahi rakh sakta!"
Raima ne bohat hi khush dili se kaha tha aur Rayah ke chehre se muskurahat halki si gayab hui thi.
Nawfal aur Rayah ka rishta teh ho chuka tha aur ab kuch hi hafto me unki shadi bhi teh thi.Do hafte pehle jab bibi jaan ne Rayah se yeh baat ki to woh beyhad bure mood me thi aur Nawfal ke yeh kehne per ke woh inkar nahi kare ga uska mood aur bhi zada kharab ho gaya tha.
Jab woh Bibi jaan aur Daa ji ki nazar me bura nahi ban raha tha to woh kyun banti? Usne najane kyun lekin is ajeeb si zid me aa kar Bibi jaan ko koi bhi jawaab nahi diya tha.Kuch din me hi woh Haweli se wapis aa gaye to ek din woh office se thori der se nikli thi Nawfal bhi tabhi nikla to usne use saath chalne ko kaha jis per usne hasbe mahmool inkaar kar diya tha.
Lekin Nawfal ke yeh kehne per ke use Bohat zaroori baat karni hai woh maan gai aur beth gai thi."Rayah main nahi jaanta tum zid se Bibi jaan ko inkar nahi kar rahi ya phir tum sach me taiyar ho is rishte ke liye..."
Rayah ne uski baat per use gardan ghuma kar dekha tha.
"Main zid kyun karun gi."
"Khana khaate hue baat kar sakte hain?"
Nawfal ne gari ab ek restaurant ki parking me laga di thi.
Rayah uske us andaz pe naa nahi kar payi bas chup kar ke gari se utar gayi. Pata nahi kyun woh is shaks ke saath itni zid kyun karti thi..? Use iski har baat ki mukhalifat kyun karna pasand tha?Woh ek Italian restaurant tha bohat hi dhimi roshni ke saath saja hua wahan per kuch kuch log bethe the jo apna apna khana khane me masroof the.
Woh dono bhi ek kone wali seat per beth gaye the.
Apna order dene ke baad woh dono hi ek dusre ko dekhe bagair khamoshi se bethe rahe the."Dekho Rayah main Bibi jaan ko na nahi kar sakta aur iske piche ek wajah he jo tumhe waqt ke saath maloom ho jate gi. Lekin tum koi bhi faisla jazbati ho kar mat karo. Yeh tumhari puri zindagi ka sawaal hai. Main nahi chahta ke tum kisi bhi zid me yeh shadi karo. Main har kisi se rishta nahi jorta aur agar jorta hun to mujhe rishte torna bilkul nahi pasand."
Uska bohat hi naram magar do tok andaz tha. Rayah use kuch der dekhti rahi phir ek gehra sans le kar boli.
"Mujhe nahi pata tumhe yeh zid wali baat kyun itni sahi lag rahi he lekin aisa kuch nahi hai. Main koi bhi faisla jazbati ho kar nahi le rahi. Agar kabhi na kabhi shadi karni hi he to kya farak parta hai tum ho ya koi aur ho. Aaj na karke kal kisi anjaan shaks se shadi karne se behtar mujhe yeh laga is liye maan gai bas aur kuch nahi hai!"
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...