Dr Azaan Haider Khan ko jitna pyar apne se jure rishton se tha utna hi lagao use apne profession aur apne career se tha.
Apna mbbs aur Specialization ke baad ab woh wapis Pakistan apni Family ke paas jaana chahta tha. Lekin abhi bhi kuch choozon ko windup karne me time lagna tha.
Azaan ek saaf dil ka maalik tha jise apni zindagi jeena pasand tha aur logon ko jeeta hua dekhna bhi.Shayad yeh bhi ek wajah thi uske Doctor banne ki. Lekin sab se bari wajah uski marhooma maa thi. Jo ke khud ek bohat achi gynecologist thi aur Azaan ki role model. Farheena Haider ek bohat rehem dil aurat thi jisne apni zindagi me bohat logon ki madat ki thi aur apne marne se pehle apne logon ke liye ek Hospital bana gai thi. Us Hospital ko ache se kaam karte hue dekhna uski khuwaish thi. Aur use pura karne me usne apni puri jaan lagai thi. Lekin zindagi humari planning ke mutabik chalti kahan hai. 13 saal pehle use cancer diagnose ho gaya tha. Woh apni bimari se lari thi lekin Allah ki marzi ke aage hum insaano ka kta zour..uski mout ke baad Azaan ne apni maa ki khuwaish ko pura karne ke liye Doctor banne ka fesla kiya tha.
Aaj woh ek seminar ke liye aya tha jo ke ek University me tha. Doctor Evens usse pehle hi aa chuke the woh apne emergency me aane wale patient ko dekh ke ab aya tha.
Woh apni car park kar ke ab auditorium dhund ne ki koshish kar raha tha jo ke use mil hi nahi raha tha. Bohat hi mushkil se jab use wahan per ek bhaagti hui larki nazar ayi to usne use rouk kar usse auditorium ke baare me puchna chaha.
"Excuse me!"
Woh larki uski sune bagair hi aage bhaag jaati lekin Bad kismati se raaste ke bilkul darmiyan me Azaan khara tha jis wajah se use na chahte hue bhi ruk na para tha.
"WHAT?!"
Raima apni phuli hui sans ke saath cheekhi thi. Azaan bichara pehle uske cheekhne per heran hua aur phir uski desi shakal dekh kar.
"Woh main auditorium ka puchna chah raha tha..."
Raima ne use ek nazar ghoora tha. Aur phir rawani me boli thi.
"Pooch to aise rahe hain jese aap ko pata nahi! Hatiye main already late hun!"
Raima Azaan ko Yaqeenan koi student hi samjhi thi. Aur yeh Kese mumkin tha ke wahan ke student ko auditorium ka naa pata ho? Jis wajah se woh use jhirak kar wahan se chali gai.
Azaan hakka bakka sa use jaata hua dekhta raha.Koi larki use is tarah jhirak kar chali gai aur woh wahan khare uska mu takta reh gaya. Woh bari herani se Raima ko bhagta hua dekhta raha.
"Dr Azaan?"
Use piche se awaaz ayi thi jis per woh chonka tha.
"Aap yahan the? Hum aap ka intezar kar rahe the auditorium me"
Wahan per ek angraiz larki khari thi. Azaan ne use dekha aur muskura kar bola.
"Aap ki University hi itni bari he ke main gum ho gaya."
Woh larki uske andaaz per hans pari. Aur phir use apne piche auditorium tak le gai.
"Where were you?!"
Raima bhaagti hui andar aa kar Zahra ke paas bethi thi jab woh dabi awaaz me cheekhi thi.
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romans"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...