Chapter 29

1.5K 111 77
                                    


Uski jab ankh khuli to subha ho chuki thi usne ahista se ankh kholi aur hilna chaha lekin jisam bukhar ki wajah se is kadar dukh raha tha ke woh uth na paya. Phir jese use apne haath pe kuch wazan mehsoos hua. Usne apni gardan mor kar dekha to Raima apna sar uske haath ke karib rakhe zameen per bethe bethe aoi hui thi.
Azaan ne use dekha aur jese kal kya hua tha yaad karne laga.

Woh kal shaam Raima se baat karne ki ek akhri koshish karne aya tha lekin Raima ghar per nahi thi aur woh na jane kis zid ke tehet wahin betha uska intezar karta raha.

Use apne maathe per kuch mehsoos hua to usne apna maatha chua wahan per ek geela towel para hua tha aur Raima ke paas ke bowl jisme pani tha. Usne apna sar wapis sarhane per rakha aur nam ankho ke saath hasne laga.
Pagal thi woh larki jo uske samne thi. Usse naa muhabbat karne ka daawa karke phir bhi uski is tarah parwaa kar rahi thi.

Azaan use apni ankho me bepannaah muhabbat liye use dekhta raha phir usne ahista se apna bazu uske chehre ke niche se nikal na chaha jab Raima ki ankh khul gayi aur woh herani se uthi.

"Aap theek hain?"

Raima ne use dekhte hue pucha.
Azaan ne halka sa sar hilaya.

"Aap ka dimag apni jagah per nahi he kya? Itni thand me bahir kon beth ta he?! Agar main aaj raat aati hi na wapis to pata he kya hota?!"

Uske andar ka gussa jesa sab bahir ubhar aya tha aur Azaan sidha ho kar betha.

"Ab bhi kehti ho ke tumhe muhabbat nahi? Meri parwa nahi? Jiski parwa na ho uske liye yeh sab kon karta hai?"

Raima ne apne maathe se baal hataye aur jhun jhula kar boli.

"Azaan is waqt main aap ki baat kar rahi hun is topic ko bhool jae abhi!"

Woh muri aur jane lagi jab yak dam Azaan ne uska baazu pakra aur apni taraf khincha. Woh uske kareeb khari thi.

"Aur meri koi baat bhi tumhare bagair mukammal nahi hoti Raima."

Usne uski ankho me seedha dekh kar kaha aur Raima aage se kuch bhi na bol payi.

"Main kuch bhi tum per musallat nahi karna chahta Raima....Sirf ek akhri baar tumse milne aya tha....bas ek baat ka jawab dedo."

Usne uska baazu chora aur apni kamar per haath rakhe ek gehra sans liya. Raima use uljhan aur dukh bhari nazro se dekhti rahi.

"Tum mujhse bhaag kyun rahi ho..? Aur yeh mat kehna ke tum bhaag nahi rahi...kyun ke yeh tum bhi jaanti ho aur me bhi ke tum sirf bhaag rahi ho."

Azaan ne kaha to Raima ke andar bhari har baat har ehsaas jese aaj phatne ko taiyar thi.

"Kyun ke dar lagta hai mujhe..!"

Woh cheekhi aur rone lagi.
Azaan dam saade use dekhta raha.

"Rishton se dar lagta hai mujhe...kamzor parne se dar lagta hai mujhe...aur muhabbat sirf kamzor aur majboor karti hai...aur ab mere andar naa hi kamzor hone ki himmat hai naa hi majboor aur naa hi phir se toot ne ki....thak chuki hun Azaan...main thak chuki hun..!!"

Woh rote rote bolti chali gayi aur Azaan bhi uske saath ansu bahata use dekhta raha. Raima zameen per gir kar aur zor se rone lagi.
Azaan uske saath zameen per uske samne beth gaya.

"Zindagi ek boj lagti hai mujhe...aur Muhabbat zanjeer..! Pehle bhi ek shaks meri zindagi me muhabbat ka naam le kar aya aur usne mujhe sirf barbaad kiya zakahm diye....woh ghao nahi bhare the ke mere apne dil per muhabbat ne dastakh de di Azaan...main usse bhaagun na to aur kya karun..?!"

Woh aaj apne andar ka har dard nikal kar rakh chuki thi. Aisa gam aise ehsaas jo usne kabhi apne aap se nahi kahe the woh aaj Apni muhabbat ke samne bebass ho kar sab ughal diye the usne.
Yak dam Raima ko apne aas paas do mazboot baazu hayal hote mehsoos hue. Woh aaj unhe jhutlane ki himmat nahi rakhti thi.
Usne uske kandhe per apna sar rakha aur zor zor se rone lagi.

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now