Chapter 7

1.4K 110 51
                                    


"Maine suna he tum resign kar rahe ho?"

Alishba ne khana khaate hue pucha tha.

"Han!"

Azaan ne apni pasta ki plate se ek burki uthate hue kaha tha.

"Aur tumne mujhe bataya bhi nahi?"

Alishba ne shikayat ki thi.

"Is me batane wali konsi baat thi?"

Azaan ne herani se pucha tha.
Alishba ko kuch gussa chara tha.

"Kya matlab? Tum apne dosto ko apne future plans bhi nahi batate?"

"Dosto ko batata hun lekin ab elaan to nahi karta phirta main"

Azaan ne khane me masroof sar sari andaz me kaha tha.

"To main kon hun?"

"Meri colleague ho"

Usne phir bedihani me kaha tha.
Alishba ka chehra sach me laal ho gaya tha.

"Ah... mera woh Matlab-"

Alishba wahan se uth chuki thi.
Azaan ne use rouk na chaha lekin woh uski baat sune bagair wahan se chali gai thi.

"Maine aisa kya keh diya bhai?!"

Woh bichara apne aap me hi bola tha. Uska kasoor sach me kuch nahi tha. Usne kuch galat to nahi kaha tha. Phir use kya baat itni buri lagi thi?
Azaan wahin soch me para reh gaya tha.

__________

Raima apne kamre me bethi musalsal apne haath ko ghoor rahi thi. Yeh baat nahi thi ke usne is din ke bare me socha nahi tha lekin yeh nahi socha tha ke yeh sab is tarah ho ga. Aaj uski ungli me ek aise shaks ke naam ki anghuti thi jiske baare me aaj tak usne socha tak nahi tha.

"Raima"

Piche se awaaz ayi thi. Woh muri thi.

"Huh..haan ?"

Wahan Zahra khari thi. Woh ahista se bed per uske saath aa bethi thi.

"Kya hua?"

Raima ne uske use ghoorne per hans kar pucha tha.

"Kam az kam ab to yeh khush hone ka natak band karo."

Zahra ke is tarah kehne per woh ek aur baar hansi thi.

"Kyun kar rahi ho Raima?"

"Uff hansi to khud ba khud aa jati he main thori kar rahi hun"

Usne phir muskurate hue kaha tha.

"Matlab tum apna natak band nahi karne wali?"

Zahra ko ab gussa aa raha tha.
Woh pareshan thi. Bohat pareshan. Raima khush nahi thi woh ye baat jaanti thi. Lekin uska phir bhi khush rehna uski samjh me nahi aa raha tha.

"Main kya natak karun gi Zahra...zindagi to waise hi ek tamasha he. Wohi bari hai natak ke liye"

Zahra ka dil uski woh baat sun ker aur khicha tha.
Woh jaanti thi Mahnoor ki mout us per bohat asar ki thi lekin uska zindagi ko tamasha samjh beth na uski samjh se bahir tha.

"...bas... chalo kapre change kar lo."

Zahra jaanti thi woh agar isse zada uski un baato ko sunti rahi to woh uske samne ro pare gi.

"Tum jao Uncle aur Sarah aapi intezar kar rahe hon ge."

"Papa chale gae hen main aur Aapi aaj yahin ruken ge."

Raima ne halka sa sar hila diya.
Aaj Raima aur Faizan ki mangni ki rasam adaa ki gai thi. Koi khaas logon ko dawat nahi di gai thi. Bas Faizan ke kuch dost aur Raima ki taraf se Zahra Sarah aur Abid sahab ko bulaya gaya tha. Samreen in dino Pakistan gai hui thi jis wajah se woh takreeb me shamil nahi ho saki.

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now