Chapter 19

1.4K 123 67
                                    


Subha Nawfal ki ankh khuli to use apne right side per kisi ki ahat mehsoos hui thi. Usne jab apni side badli to halki si ankh khol kar apne samne dekha. Aur uski ankhe khud ba khud khul gayin thi use laga jese ab bhi woh koi khuwab dekh raha ho.

Rayah uske samne kuch faasle per laiti hui thi takriban bed ke kone per thi aur Nawfal apni ankhe phare use dekhta ankhe jhapakna hi bhool gaya tha.

Woh yahan...kese...? Woh use bagour dekh raha tha jab Rayah ne apni side badli thi aur uski ankh khuli thi. Woh kuch der ke liye apni jagah jami rahi thi phir yak dam piche hati to niche girne lagi to Nawfal ne uska haath pakar liya tha.

"Dihan se!"

Usne use wapis khencha aur uska haath chorta uth khara hua tha.
Rayah kuch sharminda si use dekhne lagi thi. Woh araam se washroom ki taraf bar gaya tha.

Washroom ke andar dakhil hote hi usne apni ankhe zor se band kin thi aur ek gehra sans liya tha.
Apni ankho per yaqeen karna bhi kabhi kabhi mushkil ho jata tha.

Woh dono taiyar ho kar niche aye the aur ab nashta karne Haider Khan aur Palwasha ke saath beth gaye the.

"Tum dono kahan jaa rahe ho?"

"Office Baba"

Nawfal ne coffee peete hue kaha to Haider khan ne use herani se dekha tha

"Tum dono ki shadi ko waqt hi kitna hua he abhi jo office jana shuru kar rahe ho? Ghoom phir hi lo beta."

"Saath saath ghoom te rahen ge Baba..! Office bhi to zaroori hai na"

Usne Rayah ko ek nazar dekhte hue kaha tha. Palwasha aur Haider Khan dono hi pehle hi nikal gaye the aur ab woh dono bhi uth khare hue the.

"Wese ab to saath chalo gi ya ab bhi khud manage karne ka irada hai?"

Nawfal ne use jaan kar chera tha aur Rayah ne use ahista se dekha tha ya shayad ghoorna zada behtar ilfaz hain.

"Ho gaya hai tumhara? Chale ab?"

Rayah ne bag kandhe per dalte hue kaha tha aur use ghoorgi hui bahir nikal gai thi.

"Maine konsa rouka tha."

Nawfal bhi barbarata uske piche gaya tha. Woh gari ke paas gaya to yak damruka aur phir driving seat ko dekhne laga.

"Not again pleasee"

Woh apne aap se hi guftagoo karta hua uske paas gaya tha.

"Madam aap aaj phir?"

Usne kaha to Rayah ne sheesha niche kiya.

"Jee. Aap ko koi masla hai?"

Rayah ne muskura kar kaha tha.

"Nahi jee chalayie"

Woh dono haath upar uthata dusri taraf aa betha tha.

"Agar itna hi mujhpe yaqeen nahi he to pehle bata deti"

Kuch der baad Nawfal ne sargoshi ki to Rayah ne halki si gardan ghuma kar use dekha.

"Kya..Matlab..?"

Usne ahista se pucha tha.

"Kuch nahi."

Nawfal ne jese sar jhatka tha aur khirki se bahir dekhte hue kaha.
Usne apna to sar jhatka diya tha lekin Rayah ko ajeeb uljhan me daal chuka tha.

_________

"Dr Azaan mujhe aap se kuch baat karni thi."

Raima Azaan ke office me ayi thi.

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now