Chapter 6

1.5K 104 78
                                    


"Raima!"

Raima University se nikal rahi thi jab piche se Zahra ne use awaaz di thi. Uske awaaz dene ke bawajood woh chalti gayi thi.
Zahra ne bhaag kar uske kandhe per haath rakha tha.

"Raima main kabse awaaz de rahi hun kahan gum ho?"

Raima ne anjaan nazro se use dekha tha.

"Sorry mujhe pata nahi chala."

Usne ahista se usse maazrat ki thi. Zahra ne kuch uljhi hui nazro se use dekha tha. Uske chehre per pareshani thi lekin woh nahi samjh paa rahi thi kw woh kyu thi.

"Tum mujhe chor kar nikal gai?"

Zahra ne shikayat ki thi.

"Woh main..."

Raima ne phir wazahat dena chaha lekin is baar Zahra ne khud hi uski baat kaam di thi.

"Pareshan ho to batao mujhe. Is tarah andar mat rakho Raima."

Usne narmi se uska baazu pakarte hue kaha tha.
Raima use tuk tuk dekhti rahi.
Phir na jane kab uski ankh se ek ansu uske gaal per gira. Najane ansu ab itni asani se kyu nikalte the. Na chahte hue bhi.  Unhe roukte hue bhi.
Zahra ahista se aage bari aur usne use gale se lagaya aur uski kamar per ahista se haath pherne lagi.

Woh dono University ki hi back ground me pari ek bench per aa bethi thin.

"Kya cheez tumhe tang kar rahi he?"

Zahra ne wahan bethne ke baad pucha tha. Jawaab kuch hi lamho baad aya tha.

"Rayah."

Zahra use herani se dekhti rahi.

"Rayah aapi?"

"Hmm...woh jo kar rahi he woh sahi nahi he Zahra."

Usne bohat bebasi ke saath kaha tha.

"Kya kar rahi hen woh?"

"Woh... woh khud ko andar se maar rahi he. Woh is ek mahine me ek dafa nahi royi Zahra. Naa hi woh muskurai he. Woh sare aansu apne andar ghira rahi he har ehsaas daba rahi hai.."

Usne bohat bebasi ke saath kaha tha. Uski awaaz me bechaini thi.

"Woh yeh is liye kar rahi hen ke tum pareshan na ho."

"Aur yehi baat to mujhe tang kar rahi he. Woh kyu kar rahi he aise...main chahti hun woh apna dukh apni takleef mujhe batae. Jese woh mere aansu ponchti he main bhi uska sahara banna chahti hun Zahra..."

Zahra khamoshi se use dekhti rahi uske paas uski baat ka koi jawaab tha hi nahi. Un dono ka gam sanjha tha. Lekin phir bhi woh dono us gam ko ek dusre se baant nahi paarahi thi. Rayah sirf uske gam ko apne andar jazb kar rahi thi. Woh Raima ke hisse ki takleef bhi apne per le rahi thi. Aur Raima is baat se anjaan nahi thi.

_________

"Assalamu alaikum"

Raima ne ghar me dakhil hote hue kaha tha. Darwaza khula hua tha lekin ghar ke andar aane per bhi koi awaaz nahi ayi thi. Woh andar chalti hui ayi thi. Lights chal rahi thi lekin Rayah kahin nahi thi.
Woh chalti hui kitchen ki taraf ayi thi wahan Rayah chule ke samne khari thi lekin woh kahin khoyi hui thi. Raima ke awaaz dene per bhi usne koi response nahi diya tha.

Rayah ab bhi apni kisi soch me gum thi jab Raima ne uska fry pan me jate hue haath ko pakra tha.

"Kya kar rahi ho Rayah!! Apna haath jalane wali thi tum dihan kahan he tumhara."

Raima ne uske haath ko dekhte hue kaha tha. Rayah ko ab pata chala tha ke Raima ghar aa chuki thi.

"Woh main...tum kab ayi?"

Faasla-e-Deewar Where stories live. Discover now