Rayah apne kamre me ayi to Nawfal apne laptop ko pakre betha hua tha. Rayah chalti hui bed ke paas ayi thi."Kahan reh gayin thi madam? Hum intezar kar kar ke mar gaye"
Nawfal ne laptop se nazre hata kar Rayah ko dekhte hue bare hi dil phenk andaz me kaha tha. Rayah halka sa hansi aur chalti hui uske paas ayi Nawfal ne laptop side pe rakh diya tha.
"Maine thori kaha tha wait karne ko. So jate ?"
"Uff bohat zalim ho tum Rayah begum!!"
Rayah uski baat pe hasi aur bed side table se apna phone uthane jhuki aur phone utha kar jane lagi jab Nawfal ne uske haath ko pakar liya.
"Nawfal? Haath choro..!"
"Madam churwa ke dikhaen!"
"Challenge mat karna mujhe tum jaante ho challenge harne walo me se nahi hun main"
Nawfal uske andaaz pe hans para.
Phir Rayah churwa ke jaane lagi jab usne use haath se khencha. Woh uske upar giri thi. Ab bhi uska ek haath Nawfal ne thaam rakha tha. Nawfal kuch der uska chehra dekhta raha phir ahista se uske maathe ko chooma. Rayah kuch der use dekh nahi payi lekin jab uski ankho me usne dekha to woh apni nazre hata nahi saki thi.____________
Raima ko woh baat kiye ek hafta ho gaya tha. Aur is ek hafte me ek dafa bhi uski baat Azaan se nahi hui thi. Shayad woh dono hi taiyar nahi the. Raima ne apni ticket bhi book karwa li thi aur ab uske jaane me sirf ek din reh gaya tha. Bibi jaan ne usse bohat pucha tha ke woh itni jaldi kyun kar rahi thi jaane me aur is baat ka jawab Raima ke paas nahi tha. Shayad woh khud bhi nahi jaan ti thi.
Woh jane se pehle uski jheel ke paas jana chahti thi. Raat ke waqt khane ke baad woh uthi aur shawl apne ird gird lapait ti nikal gayi thi. Jab woh us jagah ponchi to usne kisi ko wahan betha dekha tha. Aur use yeh sochne ki zaroorat nahi pari thi ke woh kon tha woh jaanti thi ke woh Azaan hi ho sakta tha. Woh wahin se murne lagi thi jab Azaan kisi ki ahat per mura tha aur Raima ko wahan dekh ke use dekhta hi raha tha. Kuch der use dekhta raha tha woh use laga shayad woh uske saath aa bethe gi lekin jab use laga ke woh nahi aa rahi to woh khud uth khara hua tha lekin apni jagah se nahi hila tha. Raima kuch ghabrai thi lekin ahista kadmo ke saath chalti hui uske saath aa khari hui thi. Raima kuch sochne lagi thi. Use is mouke per samjh nahi aa raha tha ke woh kya kahe.
Woh kuch sochne ke baad bolne hi lagi thi jab Azaan bola tha."Jaa rahi ho..?"
Najane uski awaaz me kya tha jisne Raima ke andar kuch tora tha. Woh kuch lamho ke liye bol nahi payi.
"Haan.."
Dheemi awaaz me jawaab aya tha.
"Azaan main-"
"Kyun? Kyun Raima?"
Usne Raima ki baat kaati thi aur Raima us kyun pe kuch nahi bol payi thi. Usne ek gehri sans le kar usse apni nazre hatayin aur phir us andhere me chamakte chand ki taraf dekh ke boli.
"Yaad he aap ko...is jagah pe aap ne mujhe kya kaha tha?"
Azaan khamoshi se use dekhta raha tha.
"Raima apne liye larna seekho. Tumhare liye koi nahi lare ga.
Yeh baat main nahi bhooli Azaan. Us din bhi aap ke yeh ilfaz the jinho je mujhe himmat di thi... aur main lar payi thi."Woh muri to uske ain samne woh khara tha. Un dono ki hi ankhe nam thin woh dono hi use behne nahi dena chahte the ek dusre ke samne kamzor nahi parna chahte the.
"...Main wapis jaana chahti hun us jagah jahan se me kamzor ayi thi..jis jagah se meri sari buri yaadein aur khouf wabasta hain...khud ko mazboot karna chahti hun..un achi yaadon ko wapis taaza karna chahti hun jo un khoufnaak yaadon ke niche dafan ho gyin hen..."
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...