Woh araam araam se chalti hui gari tak ayi thi. Azaan uske bilkul peeche chalta aa raha tha jab gari ke kareeb ponche to Azaan ne aage bar kar gari ka darwaza khola tha. Gari thori unchi thi aur Raima ki pair ki chout zada to nahi thi lekin abhi tazi thi is liye woh ruk kar sochne lagi ke woh kese gari me bethe?
Azaan kuch der use na samjhi se dekhta raha phir use samjh ayi ke woh kya soch rahi thi.
Azaan ne halka sa haath aage baraya tha."Main madat kar dun?"
Raima ne uske haath ko dekha aur phir sanjeeda awaaz me boli.
"No thanks. Main manage kar lun gi."
Raima ne ahista se apna Dayan paun upar rakha jisme chout nahi lagi hui thi aur ek haath se darwaze ko pakra aur seat per beth gayi. Azaan ne uski is saaf goi ka bilkul bhi bura nahi manaya tha albatta use kuch khushi mehsoos hui thi.
Ab woh dono hi gari me beth chuke the aur Haweli ki taraf rawana ho gaye the. Haweli hospital se zada door na thi jis wajah se unka woh 15 min ka safar khamoshi se hi kat gaya tha.
Haweli ponch kar jab gari ruki to Azaan pehle dafa kuch bola tha."Sune."
Raima utarne lagi thi jab Azaan ne use rouka tha aur Raima ne use uljhi hui nigahon se dekha tha.
"Aap theek hain?"
Azaan ke sawal per najane kyun Raima ke gale me ansuon ka gola phasa tha. Use pata tha ke woh uski chout ka nahi uska puch raha tha. Aap ki zindagi me kitne log hote hen jo aap se yeh puchte he?
Raima ne apni ankhe bheegne nahi din thi aur ahista se asbaat me sar hila diya."Ek baat kahun?"
Azaan ne pucha tha.
Raima ne sar hila diya tha."Hum jab girte hen to hume bachane har bar koi insan nahi aata. Hume khud uthna parta he."
Azaan khud nahi jaanta tha woh use yeh kyun keh raha tha..?
Woh har kisi ko is tarah mashwara to nahi diya karta tha."Thokar kha ke uthna mushkil nahi hota us thokar ke badle mile zakhmo ko bharna mushkil hota he."
Raima ne usi saaf aur sard andaaz me kaha tha aur gari se utar gai thi. Kya tha uski awaaz me jo Azaan use dekhta reh gaya tha.
Raima chalti hui andar ayi to uske smne se Palwasha aa mili thi.
"Raimaaaa! Kesi ho?!"
Usne humesha ki tarah overexcited hote hue usse pucha tha.
"Tum kesi ho? Rayah bhi ayi he?"
Usne halki si muskurahat bamushkil apne chehre per laate hue pucha tha.
"Nahi Rayah api Nawfal bhai ke saath aa rahi hain. Unhe office me late ho gayi thi."
"Oh theek."
Raima ke chehre ki muskurahat kuch halki hui thi. Use Rayah se door rehne ki aadat nahi thi Aur ab jab reh rahi thi to use har waqt weekend ka intezar rehta tha beshak woh apne rawaiyye se zahir nahi karwati thi lekin woh dono ek dusre ka hissa thin door kese reh sakti thi?
Raat ka waqt tha aur Rayah aur Nawfal Haweli ponch chuke the. Un sab ne mil kar raat ka khana khaya tha jis per Bibi jaan aur Daa ji dono hi beyhad khush the.
Apne bacho ko ek saath dekhne se zada khush baat unke liye kya ho sakti thi?
Ab khaane ke baad woh sab apne kamre me jaa chuke the."Raima thm apna khayal kyun nahi rakhti? Jab se main yahan se gai hun tum har dusre din kuch na kuch karwa ke beth jati ho."
Rayah ab uske paun ki patti ko dekhti pareshani se use dant rahi thi.
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...