Zindagi bohat heran kun hoti he aksar aap ko aisi jagah laa kar maarti he ke hume khud samjh nahi aati ke hum is haal tak ponch kese.Hospital ke ek kamre ke bahir bethi Rayah ko aaj yeh baad shiddat se mehsoos hui thi.
Use wahan aye najane kitni der ho chuki thi aur najane kab se woh wahan per kisi mujasme ki tarah bethi thi. Lekin ajeeb baat thi mujasme ki ankhe bheeg nahi sakti thin. Uski ankho me ansu nahi aa sakte the lekin Rayah ka to chehra un khamosh ansuon se bheega para tha. Zindagi se nazre chura kar bhaag jane ka shayad usne tab bhi nahi socha tha jab uski maa use chor kar gai thi lekin woh aaj sach me is duniya yahan ke log aur aaj ki haqeeqat in sab cheezon se ankhe band kar ke bhaag na chahti thi. Haqeeqat bohat talkh thi aur uski zindagi me pehli hi bohat talkhiyan thi."Ms Khan."
Doctor ne use awaaz di thi jo ke shayad uske kaano tak to pohanch gai thi lekin woh samjh nahi payi thi. Doctor ne ek aur baar awaaz di thi aur is baar woh chonki thi.
"Doctor how's my sister..?"
Doctor ne apna sar utha kar Rayah ko gour se dekha aur phir usse kaha.
"Inke saath kisi zabardasti karne ki koshish ki he....aur yeh sab inpe naa hi khaali jismani magar dimagi gehra asar bhi chor chuka ho ga. Hum nahi jaante ab bhi ke Raima kis kadar mentally is sab se mutassir hui hen kyun ke woh hosh me nahi ayi abhi magar Ms. Khan aap ko Raima ke har tarah ke rawaiye aur raddhe amal ke liye taiyar rehna pare ga. Hum unki therapy aur baaki cheezo ka bhi baad me sochen ge magar tab tak hum medication se unhe calm rakhne ki koshish karen ge"
Doctor ne use bohat hi rawani me samjhaya aur wahan se chala gaya tha. Rayah ka sar chakra gaya tha. Use samjh nahi aa raha tha ke woh Allah se shukar kare ya phir gila kare aur phunt phunt ke
uske samne roye?Kafi der tak woh apni jagah se hil nahi payi thi duniya me har cheez shayad usne expect ki thi lekin use zindagi me ye dekhna pare ga woh kabhi usne nahi socha tha.
Woh apne larkharate kadmo ko piche ki taraf ghasit ti hui wahan per pari ek kursi per beth gai thi.Woh Raima ke samne kese jaa sakti thi? Woh use aise kese dekh sakti thi? Is haal me?
Shayad woh ye mangni na tor ti to yeh sab na hota? Zada se zada kya hota unki property chali jati? Raima ke saath yeh sab kuch na hota. Matlab yeh sab uska kasoor tha?Rayah ke dimag me us waqt kitne kisam ki baate chal rahi ghin woh khud nahi samjh paa rahi thi. Har baat dusri baat se takra jati thi. Aur akhir me natija yehi nikal ta tha ke is sab ki zimedar woh thi. Jo ke woh nahi thi. Kuch der baad ek nurse uske paas ayi thi jisne use Raima ke hosh aane ki khabar use di thi. Rayah ke hosh sach me ur gaye the. Woh najane kis bhari dil ke saath khari hui aur uske kamre ki taraf bhar gai thi ahista se uske kamre ka darwaza khol kar woh andar dakhil hui thi. Aur uski sans sach me band ho gai thi sans tha ke halak me hi atak gaya tha aur pair aise the jese uthna hi bhool gaye hon. Bed per laiti woh larki najane kon thi....
woh kam az kam uski behen to nahi thi. Raima ki ankhe band thin uske chehre per koi bhi tassur nahi tha woh is tarah laiti hui thi jis tarah koi murda ho.... Rayah apne kamoti hui tango ke saath aage bhari aur uske bed ke paas aa bethi aur ahista se usne uske haath per apna haath rakha tha.
Raima ne harbara kar ankhe kholi aur apna haath piche khencha.
Uski ankho me khouf saaf zahir tha. Rayah ki ankh se ansu niche gire the."Raima..main hun. Calm down.."
Raima yak dam uth kar bethi aur piche hi hoti gai jese ek kone me simat gai ho. Rayah uski halat dekh kar jese bezubaan ho chuki thi. Woh ahista se uske thora aur kareeb gayi.
"Raima idhar dekho...main hun Rayah, dekho?"
Raima ke chehre ko apne haath me lete hue kaha tha. Raima apna chehra zor se nafi me hila rahi thi.
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...