Woh jab us cottage se nikle to wahan ke sabse kareebi hospital jana chaha lekin wahan aas paas unke apne hospital ke ilawa koi hospital nahi tha. Nawfal ne gaari ko tezi se us taraf bhara diya tha. Azaan piche back seat me Raima ke saath tha.
Woh ghabrae hue chehre ke saath use dekhta us lamhe me yeh tak bhool chuka tha ke woh khud ek doctor tha woh bas bebasi se uske bejaan pare wajood ko dekhta raha.
Woh sab jab hospital ponche to Azaan tezi se emergency ki taraf Raima ko le kar bhaaga tha. Hospital me sab heran or pareshan the. Raima ke sar se bleeding ho rahi thi aur uske paun aur baazu bhi sujhe hue aur zakhmi the.
"Dr Azaan aap bahir ruken."
Dr Bano ne us kaha tha jo hawas bakhtagi me tha.
"Dr Bano mujhe Raima ko dekhna hai! Uska treatment karna hai."
"Meri baat sune Dr Azaan. Aap is waqt is halat me nahi hain ke unka ilaj kar saken. Hum sab yahan he aur unke saath koi serious issue nahi hai.."
Dr bano ne jese use tasalli dena chahi thi. Woh jaanti thi ke Azaan bohat kabil Doctor tha lekin phir bhi abhi woh apne pure hawaas me nahi tha aur is haalat me usse koi bhi treatment karwana bewakufi thi.
"Azaan..! Calm down. Betho yahan."
Piche se Nawfal ne aa kar use bithaya tha. Woh ab bhi kamre ki taraf dekh raha tha jahan Raima thi. Nawfal use kuch pareshan nazro se dekhta raha phir bola.
"Azaan....kuch bhi nahi hua he bas stress aur bleeding ki wajah se behosh ho gai thi. Doctor Bano ne kaha he na ke kuch serious nahi hai!"
"..main chorun ga nahi use....mujhe andaza bhi nahi hua ke woh yahan tak aa jae ga...."
Azaan ki ankhe gusse se surkh ho chuki thi aur woh usi gusse me bol raha tha.
"Use main dekh lun ga. Police se baat ho gayi he meri. Tum uski fikar mat karo ab Raima safe hai"
Nawfal ne uske kandhe per haath rakh kar narmi se kaha tha.
Aur Azaan ne apni ankhe band kar lin thi. Uska dimag in kuch ghento me beyhad thak chuka tha.__________
Uski ankh khuli to use samjh nahi ayi thi ke woh kaha thi. Jab woh behosh hui thi to akhri dafa usne Faizan ko apne kareeb aate dekha tha. Kya woh phir haar gayi thi? Kya is baar bhi woh us janwar se nahi jeet payi thi? Woh ghabra kar uthna chahti thi lekin sar itna bhaari aur dard se phata ja raha tha ke woh ye bhi na kar payi.
Tabhi koi uske sarhane aa khara hua tha uski ankhe band thi aur use mehsoos hua tha jese kisi ne usk baalo me haath phera tha.
Usne ahista se ankhe kholi thin.
Uski ankhe khulne lagi to us shaks ne apna haath foran piche kar liya tha. Usne ankhe khol kar dekha to uske ain samne Azaan khara tha.
Bikhre hue baal aur shirt ko dheela kiye. Uske chehre ki thakawat aur pareshani saaf zahir thi."Azaan..?"
Raima ne ahista se use pukara tha.
Azaan ne bamushkil apne chehre per halki muskurahat layi thi."Tum theek ho?"
Azaan ne uski nafs check karte hue puchq to Raima ne apna sar halka sa hila diya.
"Main..yahan kese?"
Usne pucha to Azaan ne halki muskurahat liye jese tasalli dene wale andaaz me kaha.
"Zehan pe ziyada zor mat do Raima. Hum ne police ki madat se tumhe dhund liya tha. Tum bas sar ki chout ki wajah se behosh ho gayi thi."
Usne kaha to Raima ne apni ankhe zor se bhinchi thin. Azaan wahin khara use dekhta raha. Woh samjh sakta tha ke Raima is waqt kya mehsoos kar rahi thi jis zehni azaab se woh guzri thi joh khouf wapis uske andar jaage the woh sab mehsoos kar sakta tha woh.
YOU ARE READING
Faasla-e-Deewar
Romance"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat mere samne ayi to lagta he ke ho jae gi...." __________ "Itni jaldi haar gai usse?" "Usse nahi hari...