Door bell ring and HM's ammi opens the door.
Ammi : are Anubhav beta tum, kaisay ho, andar aao beta.AS: salam ammi... Mera Matlab hai aunty ji hum theek hain ap ki tabiyat kaisi hai.
Ammi: tum humain ammi bula sakty ho, humari tabiyat abhi kuch behtar hai.
AS: haseena ji hain Ghar par.
Ammi: nahi beta abhi Tak thane say nahi aai hai, kuch Kam tha us say, tum thori star intezar karo wo aati hi hogi.
AS: nahi ammi hum ap say milnay aaen thay.
Ammi: hum say milnay, khair toh hai beta.
AS: ammi darasal hum ap say mafi mangna chahtay thay, humara maqsad ap ko takleef dena hargiz nahi tha, hum dil say ap say Shama chahtay hain..kiya ap humain maaf karen gi?
Ammi: beta haseena nay humain sab bata diya hai, or hum tum say hargiz naraz nahi hai.
AS: ammi apki tabiyat theek nahi hai, chalen apnay room mei aram karen aap.
Ammi: Chalo beta tum bhi humaray sath when Chalo.
AS: ji....
In ammi's room
AS: ammi humain ap say haseena ji k baray mei baat karni hai..
Ammi: ha beta bolo.
AS: aaj kal wo buhat upset rehti hai, humari wajah say ap ko or unhen buhat takleef pohnchi hai, aap humara yaqeen karen humare pass or koi dusara rasta nahi tha, hum majboor thy apne farz ko ly k, lakho logon ki janain dao par Lagi this isliay humain yeh sab karnay para..
Ammi: hum jantay hain beta akhir hum bhi ek police waly ki baiwa or ek police officer ki maa hai, jantay hain farz or desh say barh k kuch nahi hota, isliay hum nay tumhain sachay dil say maaf kia.
AS: ammi ap janti hai na hum ek uncover police officer hain, humain har pal Ghar say dour rehna parta hai, shadi ek buhat bari zemadari hai kaisay hum nahi utha sakty, hum nahi chahtay k koi bhi larki hum say shadi Kar k apni khushiyun ko teaigh day, humain yeh haq nahi pohnchta k hum kisi ki bhi khushiyun ya gala ghontein.
HM enters in her home with extra key she don't want to disturb her mother..
She is near to enter her mother's room but stop in between, her mother is with someone but who is that person she can't see his face properly, but recognize him by his voice.
She murmuring "sir yahan kia kar rhy hain humari ammi k sath", she decided to stay here and listen what are they talking?AS: hum yeh baat aachi tarha say jantay hain kyun k hum nay apni mata ji par sab kuch beetay huway dekha hai, humare pita ji army mei thy, har waqt unhen border par rehna parta tha, saal mei ek do bar hi aaty thy wo din maa k liay dewali say Kam nahi hota tha, jab wo nahi hoty thy tb hum nay apni maa k ankhon mei wo udasi deekhi hai, wo aansu deekhy thy jo wo hamesha wo hum say chupati thi, wo dard hum nay mehsoos kia hai hum nay, har pal mata ji ko yahi daar satata tha k humare pita ji ghar loat k bhi aaen gy ya nahi, wo raton ko in ka chonk k uthna har pal be hain rehna, TV par khabron ko deekh k be sakoon ho jana.hum nahi chahtay k hum bhi jab mission par hun toh humari jevansangani par bhi yahi sab beetay. Waisay bhi hum jaisay uncover police officer k na sirf khud ki jan ko khatra hota hai or sath sath us k parivar ko bhi.....humara manah hai k ek aurat kisi bhi mard ki sab say bari kamzoori hoti hai or hum kisi bhi tarha kamzoor nahi parna chahtay nahi chahtay k hum bhi apne pita ji k tarha kamzoor paren jaisay humari mata ji unhen.......
Ammi start coughing.
HM: ya Allah humain ammi ki dawaiyan leni thi hum bilkul hi bhool gay, abhi ja k lay aaty hain... She leaves there.AS: hum bhi kia batein ly k bath gy, kia Kam say aaen thy wo baat karni hi bhool gay.
Ammi: kaun si baat beta.
AS: aaj kal haseena ji buhat udaas rehti hai or is ka kaaran hum hai, hum chahtay hain k haseena ji pehlay ki tarha ho Jaen humesha khush rahen..
Ammo: beta yeh kaisay mumkin hai us nay toh khud par saari khushiyun k darwazay band kar liay hain.
AS: humaray pass ek plan hai hum bus ap say anumati chahtay hain..
Ammo: kia plan hai...
He explained his plan with ammi.
Ammo: acha hai par humain nahi lagta k haseena ko manager itna aasan hoga.
AS: par hum koshish toh Kar saktay hain na....
Ammi: ha koshish karnay mei koi harj bhi nahi hai...
AS: theek hai hum kal hi isay anjam detay hai.
Ammi: theek hai beta.
Next day morning:
HM enters and seeing all are busy in their chit chat, cheeta as always flirting with santu, she irritates with his flirt, as usual karishma and pushpa Singh fighting on morning tea.
She stops at thana's entrance and smiles.
HM: yeh log nahi sudhrain gay. Ya Allah humaray is parivar ko humesha aaisay hi khush rakhna.SS sees her and gave signal to rest of thana's member about her presence.
All together.
All: jai Hind MS.HM: jai Hind, kahen rhy aap log chup kyun ho gay ap log lagy rahein.
PS: MS yeh hain na (pointing KS) inhon nay pehlay shru ki thi.
KS: kaa baat kar rhi hai PJ hum nay shru ki hai larai, aap hi toh keh rhi thi k hum chai achi nahi banaty or ab shikayat Kar rhi hain aap.
PS: toh ap achi nahi banati chai in mei ghalat kia baat hai, apko achi chai banana seekhna chaheay na k chai banani hi chor deni chaheay kyun MS?
HM just smiles on their argument.KS: ap inki baat par bara khush ho rhi hain ap MS, apko toh bara maza aata hai jab koi humain kuch bolay toh.
HM: KS ap bhi. Chalen aab sab apna karen. I think ab koi case pending nahi hai ap sab log aaj jaldi ghar ja saktay hain.
KS: ji MS, hum aaj hi PJ k lalla ko kehty hain humain shopping par lay Jaen or dinner bhi bahir karen gay.
PJ: shukar hai jan k khushi hui k ap ko humaray lalla ka khayal hai.
KS: PJ ap dobara shru mat ho jaeay ga, humara acha mood hai abhi please kharab mat kijeay ga.
PJ: Karishma maddam ap bhi.
HM left for her cabin after saying Inka kuch nahi ho sakta.
After few moments SS enters in her cabin and told HM to call DSP sir. He just call on landline to talk her. HM calls him
HM: jai Hind sir koi Kam tha apko, ap nay call ki thi .....
AS: ji haseena ji agar ap sham ko free hai toh humaray sath dinner par chal sakti hain, humain apko kisi say milwana hai.
HM: ji sir , hum aa Jaen gay, kaha aana hai sir.
AS: hum ap ko ap k ghar say pick Kar lyn gay.
HM: ji sir jaisi aap ki marzi....
__________________________________
A short part but try to update soon. Will revealed AS plan in next part. A shocking news and new beginning is waiting on next part.