PART#20

839 51 0
                                    

KS: Bhaiya chalen hai barish mei bheegty hain jaisay bachpan mei bheegty thy, bara mazay aaey ga.

AS: Chalo , maa or Haseena ko pata nahi chalna chaheay.

KS: bayfikar rahen bhaiya, MS chachi ji k sath pakoray bana rhi hai...

AS: theek hai Chalo...

They went to terrace and enjoying rain without caring his wound.

KS: bhaiya  caram board Kahan hai.

AS: store room mei

KS: hum abhi lay k aaey. Caram khelain gay jaisay bachpan mei khelty thy or phir chupan chupai theek

AS: wah behna jaldi lay k aao, buhat maza aaey ga, phir say bachpan yad kar k.

KS: hum abhi laen.

They are sitting on the chair playing caram board.

In Anu's room.
HM: maa yeh dono Kahan gay hain.

Maa: humain pata hai Kahan hai ye dono.

HM: Kahan

Maa: chat par barish mei bheeg rhy hungay, chotay thy toh dono bhai behan barish mei khub bheega karty thy, jab tk barish na rukay ye log bheegty hi rehtay thy or phir bemar par jatay thy.

HM: acha chalen yeh garam garam pakoray hum unhain upar day k aaty hain.

Maa: Chalo hum bhi chaltay hain tumharay sath, warna ye dono tumhari baat nahi manain gay.

HM: chalen maa

In terrace.

HM is sitting with mataji in the shed and watching them to play caram.

KS shouted : bhaiya ap nay cheating ki hai.

AS: nahi hum nay koi cheating nahi ki hai.

KS: wo humari got thi ap nay ghalti kia hai.

AS: hum nay kia ghalat kia hai, ap hamesha aaisa hi karti hain apko abhi Tak khelna nahi aaya.

KS: hum sekh chukay hain khelna, apko nahi aata.

AS: KS ap apni ghalti man lyn.

KS: chori ap nay ki hai.

AS: nahi ap nay.

HM placed her head on  mataji shoulder and hold mata ji's hand.

Maa; beta in dono ki shru ki adat hai khelty hai , phir larty hain, phir chor dety hain.

HM: yeh dono kitnay larty hain ek dosray say.

Maa: pyar bhi buhat karty hain ek dosray say.

HM: acha.

Maa: pata hai beta mera Anubhav pehlay  buhat shant sobhao ka tha, har kisi say mar kha k aa  jata tha par karishma larkon ko mar k apnay bhai ka badla lay aati thi.

HM: KS gundi bachpan hi say hain.

Maa: ha beta 3 bhaiyun ki ekloti behan hai, isliay sari aadatein larko wali hain.

HM: lekin dil ki buhat saaf hai.

Maa: jo log ghussay k taiz hoty hain or aksar dil k saf hi hoty hain.

KS: humain nahi khelna ap k sath, har bar cheating.

AS: humain bhi ap k sath khelnay ka shoq nahi hai.

HM: ap dono ka ho gya ho toh pakoray khanay aa Jaen thanday ho gay hain.

AS: aaey hum dono.

KS: wah MS buhat suwadish banaen hai ap nay.

Un Spoken Love 0neWhere stories live. Discover now