Haseena malick is waiting outside commissioner's office while AS is with commissioner.
Com: AS humain ap say ye umeed nahi thi, k ek larki ki khatir ap apna farz bhool k bina kisi weapon kay, kisi ko bataey beghair kaisay ja saktay hain ap. Itne ghair zimadar kaisay ho saktay hain ap DSP Anubhav Singh, wo AS jisay us k sojh bojh or dur dirishti say pora department janta or manta hai wo kaisay kisi plan k bina sirf ek larki ki khatir ......AS: sir humaray pass koi or rasta nahi tha, hum SHO haseena malik ji jan ko khatra tha, hum unhain aaisay kaisay choar saktay thay.
Com: wo AS jis k pass ek mission k liay dus dus plan hoty thay wo keh rha hai k koi or rasta nahi tha us k pass. Kyun k ap nay yeh faisla dil say kia tha dimagh say nahi. Agar wo Vinod apni chal mei successful ho jata toh hum kia jawab detay. K DSP Anubhav Singh nay apnay dil k hathon majboor ho k yeh sab kiya hai?
AS: sir uska plan kamiyab toh nahi huwa na, haseena ji nay sab sambhal lia.
Comm: Ap yeh mat bolain AS hum nay apko sirf isliay uncover mission k liay chunna tha kyun k Anubhav Singh k pass dil nahi dimagh hai. Or uska prem sirf unki duty or us ka desh k liay hai bus. Pyar karnay k ijazat nahi hai apko kyun k aurat insan ko kamzoor karti hai wo us say wo faisaly bhi karwa Leti hai jo us k liay theek nahi hai. Wo larki jis k liay ap
AS cuts him in between.
AS: sir ap jisay bar bar larki bula rhay hai wo SHO haseena malik hai, humain un par pora bharosa hai , hum kabhi in k hotay huway assafal nahi ho sakty. Ap nishchit rahen sir wo humain kabhi apne farz say nahi bhatkain gi, unki bhaduri k dastan sab jantay hain or ap bhi....Comm: ha jantay hai k wo haseena malik hai isliay apko suspend nahi Kar rhay hain warna jo ghalti ap nay ki hai na usay hum itni asani say maaf nahi kartay, magar ha aagay say dheyan rakheay ga k apka prem ap k farz k darmiyan na aaey.
AS: ji sir zaroor hum dheyan rakhean gay.
Comm: theek hai, ap ja sakty hain.
AS: jai Hind.
Comm: jai Hind or ha jatay huway haseena malik ko andar bheej dijeay ga.
AS: ji sir.
Outside.
AS: Haseena ji apko sir nay andar bulaya hai.
She already heard their conversation. She was afraid off going inside.HM: sab ap ki wajah say huwa hai , kis nay kaha tha apko wahan aanay k liay, apki wajah say ab humain commissioner sir say sunni paray gi.
AS: toh ap nay Kaun sa humara order follow kia tha, jab hum nay ap say kaha tha k ghar say bahir ap nay nahi jana toh ap kyun gaen?
HM: dekhain us waqt wo zaroori tha. Magar ap nay jo kia wo sahi nahi tha.
AS: bad mei hum lar lyn pehlay ap andar Jaen sir intezar Kar rhay hun gay.
HM: ji jatay hain.
AS: all the best haseena ji....
HM: hum ap say bad mei baat karty hain sir....
HM: jai hind sir...
Comm: jai Hind baithain haseena malik.
HM: sir ap nay humain bulaya. While sitting on chair.
Comm: ji Haseena malik apnay us waqt jis hazir demaghi say plan banaya tha wo Qabil e tareef tha, agar ap aaisa nahi karti toh shaid us vinod k sath Ajay bhi khuli fiza mei sans lay rha hota.. or jurm ka kala dhandha phir say shru ho Jata.
HM: sir yeh humara farz tha.
Comm: khair hum nay apko isliay bulaya hai k hum nay ap logon ko sammanit karnay k liay ek party rakhi hai k kis tarha ap nay or KS nay bahaduri dikha k itnay baray plan ko issafal kar diya, ( talking about mission Jeet) hum chahtay hain k ap or apki poori team is mei apnay apnay parivar k sath shareek ho. Or ha AS ko bhi ap inform kar dijeay ga kyun k un k bina yeh mission successful hona namumkin tha.