PART #25

647 40 0
                                    

AS: haseena apko Sara plan Sahi tarha say yaad hai na, hum kisi bhi kisim ki koi ghalti afford nahi Kar saktay, humari ek ghalti buhat say qeemti jano ko zaya kar day gi.

HM: anu hum jantay hain humain kia karna hai bus ap fikar na karen, hum sab sambhal lyn gay.

AS: apko humaray plan k anusar un k beech shamil hona hai ya toh victim ban k ya un k gang ka hissa ban k, ye tracker ap k sath rhay ga, ta k humain ap ki location pata ho, or apk phone ko bhi hum trace karty rhen gay, koi bhi jankari ho ap is head phone k zariey humain dyn gi. Un ka gang is area mei kafi active hai, wo majboor or ghareeb larkiyun ko apna nishana banatay hain. Samjh rhi hain na ap

HM: ji...

AS: hum apko medical store par drop kar dayty hain.. ap yeh niqab pehan lyn, apni pehchan ap nay badalni hogi.

HM: hummm.

________________________

HM: humain yeh medicines chaheay.

Salesman: mam kitnay din ki.

HM: 10 din ki. Kitnay paisay huway bhai sahab.

Salesman: 5000.

HM: 5000 magar humaray pass itnay paisay nahi hain, sirf 1000 hai, or humari ammi ko in dawaun ki buhat zaroorat hai. Ap ek Kam karen sirf 2 din ki day dyn, hum baqi kal intezam kar k lay lyn gay.

Salesman: ji. Yeh lyn.

A man is watching all this, when she came out he chased her and caught her after a moment.

Man: mam humara naam Vishal hai, hum ek NGO chalatay hain, hum nay andar seekha apko, ap k pass apki ammi ki dawaun k liay paisay nahi thy, hum apki madad karma chahtay hai, infact humari NGO ka kaam hi aaisay logon ki madad karna hai.

HM: ji shukriya hum intezam kar lyn gay.

Vishal: kal bhi nahi ho paya toh. Ap hum par bharosa rakhain.

HM: hum nay kaha na iski zaroorat nahi, hum kahen na kahen say bundobasat kar lyn gay.

Vishal: waisay ap k sath or Kaun rehta hai.

HM: hum apko kyun bataen? Ap humaray pechay kyun par gay hain Jaen apna Kam karen humain janay dyn.

Vishal: ap Bila wajha naraz ho rhi hain, hum toh bus apki madad karma chahtay thy bus. Khair yeh humara card hai rakh lyn shaid zaroorat par jaey

HM: ji theek hai ab ap jaen.

Next day.

HM is waiting at bus stand
A lady come and sit next to her.

Lady: ap bus ka intezar Kar rhi hai.

HM: ji ek job interview k liay jana tha humain , lagta hai ye job bhi humain nahi milay gi bus ka kafi dyar say intezar Kar rhy hain par bus aa k hi nahi day rhi, agar aaj bhi job nahi mili toh hum apni ammi ki medicines Kahan say laen gay

Lady: ap pareshan kyun hoti hain, apko job ki zaroorat hai, hum ap ko kisi say milwatay hain, wo apko zaroor job day dyn gay.

HM: Sach...

Lady: ji waisay mera naam pakhi hai or aap ka naam.
HM: humara naam aarzoo hai.

Pakhi: aarzoo bara pyara naam hai, ap k ghar par or Kaun kaun hai.

HM: hum or humari ammi jan.

Pakhi: koi bhai behan ya Walid sahab.

HM: nahi hum ekloti aulad hai, humaray abu ko is duniya say rukhsat huway 15 saal ho gay hain, humari ammi nay humari parwarish ki, ghar ghar ja k Kam kia humain parhaya likhaya humain achi taleem di or jab waqt unka sahara bajaey ka aaya toh hum un k liay kuch nahi Kar paa rhy.

Un Spoken Love 0neWhere stories live. Discover now