Chapter - 4

415 35 21
                                    

Summarising BB13, their 2 years and the days after 2 September via poetry.......
______________________________________

Bigg Boss Season Tedha (13)

Two broken souls met eachother, healed eachother and became "Do Jism Ek Jaan"

Jese nadi or kinara,
Roshni or saya
Vese hi humaare Badshah or Begum
Ek doosre se bilkul mukhtalif
Par ek k bina doosra adhoore
Jahan log chehre pe naqaab odhe rakhte hai....
Uss duniya mei yeh dono bekhauf, beparwah se.....
Mile to badi saagdi se the dono
Ek kaale libaas mei tha to ek safed libaas mei lipti hui pari si thi....
Dosti ki Badshah ne Begum se
Or fir kya....
Mohabbat ko to hona hi tha......
Lade ek dooje se hi dono
Par qaynaat ka khel niraala
Dono ko jo ek saath hona hi tha....
Jab hui dono k beech takraar
To dushmano ne chali chaal
Chaal pad dushmano pe hi bhaari
Kyuki samjhdar the humaare Raja or Rani.....
Jeet gya Raja Rani or show ko
Humne kaha balle balle shava shava oho
Kuch kahaniyan kabhi kahtm nahi hoti.....
Bss aise hi ek yeh choti si kahani
Ek humaara 6 foot ka Sidharth
Or humaari Shehnaaz pyaari si gudiya Rani.....

______________________________________

Beautiful 2 years which they spent with eachother after Bigg Boss

Yun to naam nhi diya apne rishte ko humne ,
Kyunki zarurat nhi lagi
Kuch humei dost samjhte the ,to kuch miya biwi.
Yun to iss rishte ka koi naam ho b nhi sakta,
Kyunki duniya k samne hum apne rishte ko dosti keh diya karte the.....
Par haq ek duje pe miya biwi jaisa rakhte the.
Saath bitaye har pal ka ehsas Kuch yun samaya,
Jaise dhup me ho thandi chaya.
Sunne ki khwahish hai to suno humari kahani,
Meri nahi to writer ki zubani.
Ek dar sa tha kahin kho na du use,
Kyunki hai wo keemti motiyon se zyaada mujhe .
Uske door jaane ke khauf mei kar diya maine ek bachpana......
Na jaane na samjh chal padi ek aise safar me,
jisko soch kr hi lagta h tha shaayad tha wo gunaah......
Wo tha to saath mere humesha,
par bepanah mohabbat h use bhi ye kabhi qubool na karr paya....
Jaane kyun uska ye dar har kadam humari mohabbat k darmiyan aya.....
Phir jo beetne lage din ek sath....
Meri mohabbat ne uske dar ko mitaya,
Or h wo giraftar Meri mohabbat me
ye usne qubool farmaya.....
Logon ko to hoti h naseeb mohabbat kisi ek ki hi,
Mujhe to uske apno ne bhi apnaya.....
Kabhi laga hi nahi muktalif duniya se hai hum,
kuch is kadar wo meri rooh me samaya.
Usool to mere bhi pakke the par usoolo k saath jeena usne sikhaya,
Wo tha logics se bhara insan , use bachon sa tha maine bnaya..
Uski muskuraht sukun tha mera, aur mere muskurane ki wajah wo tha,
Naaz h muje apne Sid pe.....
Kyunki kahe bina hi wo duniya me sirf mera hi kehlaya.......
Wo kehta tha baby "action speaks louder than words"
Or mujhe uske andaz-e-mohabbat se ye bepanah pyar nazar aaya
Ek choti si pyari si duniya thi or hai humari ,
Jise pyar se is jahan ne SidNaaz Ki Pyaari Duniya bulaaya......

______________________________________

After 2 September 2021

Aaj meri tabahi dekhne bohot log ikkhatta hue hai....
Wo lipta hai safed libaas mei
Or log uski tasveeron ke peeche pade hai
Aaj wo gya mujhe chodke, jo waadein karta tha humesha saath nibhaane ke
Wo galat kahi nahi tha
Shaayad meri qismat ko hi humaara milna qubool nahi tha
Warna itni mohabbat ke bawajood koi apni hi zindagi se khafa hota hai kya ?
Hum bane hai ek duje ke vaaste, wo yeh bta karr gya
Poori duniya ke saamne apna haq jataake gya.....
Taqleef mei hu mai, par kya hi fark padta hai
Jo mere aasun poncha karta tha
Wo aaj iss jahan ko alvida keh gaya
Wo kehta tha "bohot naam karna hai tujhe, mujhe proud feel karna hai tujhe"
Meri yeh zindagi humesha se hi uski thi
Ab sab uske vaaste karna hai mujhe
Log samjhte hai ke bhool jaaungi mai usse
Poocho zara unn logon se
Koi saansein lena bhoolta hai bhala.....
Hum to do jism ek jaan the
Wo mujhe ek hi jism mei do jaan de gya
Wo mujh mei khud ko saunp gya
Or apne saath mujhe le gya.....
Mai jiyungi uske khatir
Poore krungi humaare sapne
Kyuki aaj bhi Sid mei Naaz or Naaz mei Sid baaki hai naaa......

_____________________________________

Sorry for the delay actually I am not well from past 2 days.

This is the last chapter of Sidharth Shukla and Shehnaaz Kaur Gill in this life. You can think of Shehnaaz Gill as the biggest star in this era. And I know she will be and what can I say about Sidharth bhaai..... I can only say that he is alive forever in our hearts.

From the next chapter onwards we will be continuing the story after 5000 years.... Will be posting character sketch today only (hopefully).
I hope I am not disappointing you by the story.

_____________________________________
I don't know how many of you like poetries or not but please do read them....they are out of pure emotions. I have written them.

______________________________________

With lots of love and best wishes.

Please do read, vote, comment and share.

~ Zee❤️

NiranWhere stories live. Discover now