ZIDD part 21

64 4 1
                                    

Here is the part 21
Ignore all typing mistake..
Ig:alisha__qureshi00
Dm me for review and feedback
*******************************************
Aliyan ne jaise hi ek bite li uska muh ban gaya uss waqt sabki nazar us par hi thi .. sabke saamne woh kuch keh nhi sakta tha kyunki un sab main us waqt uski pasandida aurat bhi mujood thi .. yehi wajah thi usne khane ka niwala nigalna sahi samjha

Misbah use muskurakaar dekh rahi thi phir usne kaha

Misbah:-
Acga haina ? Usne masoomiyat se pucha jawaban aliyan bs apna mood or muh sahi karne main laga tha..

Aliyan:-
Hn.. haana bhut achi hai itni achi dubara nhi khaa sakta.. last line main woh minminaya tha

Chalo bhi bhut hogya ab sab khana Khao .. alizey ne baat khtm karty hue kaha...

Sabne khamoshi se khana khaya .. phir sab apne apne kaamo main lag gaye ...

Raat 10 baje ke qareeb Ubaid kamre main wapis aaya ...

Alizey bedsheet set kar rahi thi usko dekhte hi woh boli ...

Alizey:-
Are aagye aap apka wait hi kar rahi thi .. usne uske pass aty hue kaha

Ubaid:-
Waah begum aaj humara wait kar rahi kya baat hai .. usne usko apne qareeb karty hue kaha

Alizey ne usse peeche kiya

Alizey:-
Allah Allah har waqt is aadmi ko romance sujh ta rahe .. woh bezaari se boli

Ubaid :-
Ab biwi itni haseen hogi toh kise romance nhi sujhega jaan .... Usne phir use qareeb kiya

Alizey:-
Hatein peeche romance nhi kar rahi baat karni thi ..

Ubaid peecha hata

Unromantic aurat .. woh badbadaya..

Kya kaha ??

Kuch nhi bolo kya baat hai

Alizey:-
Woh main keh rahi thi aaj aap aliyan ke room main so jaaye ...

Ubaid ne herat se use dekha

Ubaid:-
Kyun.. kyun bhi main kyun wahan sounga ...

Alizey:-
Misbah aaj mere sath soyegi maine usse kaha tha ..

Ubaid:-
Kyun woh guest room set karwaya toh hai unke liye

Alizey:-
Hnn magar 4 mahine baad baad mil rahi hu dono bhene baat cheet karenge isliye

Ubaid:-
Or isme meri kya galti mujhe kyun apni biwi se dur kar rahi ho ...

Alizey:-
Aap ek baat nhi manege aaj adjust karle na .. pleaseeeeeee

Ubaid ne muh bante hue use dekha ..

Alizey ne uske gaal ko pyaar se touch Kiya

Haaye kitna pyaara shohar hai mera saari baat maanta hai.. chale ab apna zaroori saaman lein or jaaye...

Ubaid jawaban uska hath pakad kar aage badhne laga...

Alizey:-
Allah Allah mujhe kaha lekar Jaa rahe hai ...

Ubaid:-
Tumhi ne toh kaha apna zaroori saaman lekar jaaye.. toh chalo mere sath .....

Alizey ne use hath chodwaya..

Alizey:-
Maine kaha tha apna takiya or blanket le jaaye aap bhi na ...

Ubaid ne aankh maarty hue kaha

Ubaid:-
Magar mera pillow toh tum hona ...

Alizey blush huyi

Alizey:-
Afreen hai aap par jaaye abb misbah aati hogi

ZIDDWhere stories live. Discover now